find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Abhi bhi aap Gairullah ki hi Ibadat Karte hai?

Kya Aap bhi Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam ki Ibadat karte hai?
Kya Aap bhi Gaus-Azam, Khawaja Moinuddin Chishti, Peer Abdul Qadir Zilani Se fariyad karte hai aur Unse Dua Mangate hai?
BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM
-------------------------------------------

Kya Abhi bhi Aap "Gair Allah" se 'Fariyad' Karna Nahi Chodenge?
-------------------------------------------
*kya Aap or Allah ki Aafat Chahate hain?
-------------------------------------------
*Ghair- Allah se Fariyaad (Mangna) "Shirk" hai*
---------------------------------------------------
( *khaja, Gaus* Wagiarah se Fariyad karna Shirk hai)
-------------------------------------------------
jinko Tum Allah Ke alawa Pukartay Ho Wo Tumhare Tarah Ke Banday Hain.
(Surah ahraf:7- Ayat: 194)
Allah ko chhor kar kisi or cheez ki Ebadat na karo, (Kisi or ko na pukaro) jo na tumko koi Nafa pahucha Sakta hai.
Fir agar aisa kiya to Tum Zalimo me se ho jaoge.
Allah Takleef pahuchaye to koi aur door nahi kar Sakta.
(Surah Younus:-10:- Ayat: 106-107)
Unho ne Allah ke siwa (matlab Allah ke elawa koi bhi) Mabood bana liya hai ke Shayad Unko Madad mill sakay" lekin unme se koi nahi jo unaki Madad kar sake.
(Surah Yaseen:-36:- 74-75)
Aur Unhon nay (Mushrikon) nay Allah Ke Bandon me SE Baaz ko Allah ki Zaat ka Juuz Qaraar De diya Wo na shukre hain.
(Surah 43:- Zakhruf -Ayat :15)
Aur in mein se Aksar Log Allah tala Per Emaan Lanay ke Bawajood Mushrik (Shirk kernay walay) hai.
(Surah Yusuf:12:- Ayat no 106)
*Rasoolullah ﷺ ki bhi Ebadat nahi karni hai or Na hi unse Fariyad karna hai. Fariyad (Mangna) Sirf Allah hi se hai.
-----------------------------------------------
Abu bakar (رضی اللہ عنہا) Ne kaha
Agar koi shakhs tum mein se Muhammed ﷺ ki ibadat karta tha to usko ma’loom hona chahiye ke Muhammed ﷺ ki *wafaat* ho chuki aur agar koi Allah Ta’ala ki ibadat karta hai to Allah Ta’ala baaqi rahne waala hai. Kabhi woh marne waala nahi. Allah paak ne farmaaya hai “Aur Muhammed ﷺ sirf Allah ke Rasool hain *aur bahut se Rasool is se pehle bhi guzar chuke hain.
(Sahih Bukhari: 1241-1242)
____________________
_______________
Logo ko achhi bate batane wala or khud us par amal na karne wale ko Qayamat ke din Jahannam me dala jayega.
=========================
Rasool Allah ﷺ Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo jahannam me dala jayega uske pet ki aantein  "intestine" bahar nikal aayegi wo unko liye huve gadhe ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega Aur jahannam wale uske paas ekaththe honge usse puchenge ki Aye falah kya tu achchi baat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se mana nahi karta tha wo kahega main to Aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud us par amal nahi karta Aur dusron ko buri baat se mana karta tha lekin khud us se baaz na rahta tha.
[Sahi bukhari:7098]
_______________
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS