find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Sabse Pahle Eid-ul-Fitr ki Namaj kab padhi gayi?

Eid ka Chand dekhe to Kaunsi Dua Padhe?
Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail.

Eid ul Fitr (Part-1)

Eid ul Fitr aur us ka hukm:

_2 Hijri mein roza farz howa, sadqat ul fitr bhi usi saal wajib hua aur usi saal pehli martaba Eid ul Fitr ki namaz ada ki gayi. Eid ki namaz Musalmanon par wajib hai, baghair uzr ke is se peechay reh jaaney wala gunehgaar hai._

_Wujoob ki daleel Sahihain ki us Hadees se milti hai jis mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Haizah Aurat tak ko Eidgah jaaney ka hukm diya hai. (Wo Hadees aagey aa rahi hai)._

Yahi mauqif Sheikh Islam Ibn e Taimiyah, Sheikh Albani, Sheikh Ibn e Baaz, Sheikh ul Hadees Ubaidullah Mubarakpoori Rahimahumullah ka hai.

*📗Eid ka chaand:*
_Ramadhan ki 29 tareekh ko chaand dekhnay ka ehtimaam karna chahiye. Wazeh rahay ke ramadhan ke chaand ki ruiyyat ke liye aik Adil Musalman ki gawahi kaafi hai magar ramadhan ke alawah baqiya tamam mahino ke liye do Adil Musalman ki gawahi zaroori hai. Jab chaand nazar aaye to yeh dua padhan:_

*اَللّٰھُمَّ اؑھلَّه عَلَیْنَا بِالْأمْنِ وَالْإیْمَانِ وَالسَّلا مَةِ وَالْإسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّك اللّه*

*📚{Sunan Tirmidhi: 3451}*
_! Allama Albani Rahimahullah ne Silsila As-Saheehah: 1816 mein isko sahih kaha hai._
_____________________________
To get Reward in Akhirah,
Share this with your families and friends

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS