Haiza Auraten Eid ke din Kya karengi?
Haiza aurto ki Lailatul Qadr me ibadat:
_Haiza aurte saari ibadat kar sakti hai siwae namaaz, roza, Tawaf-E-Kaba, aur Itikaaf baithne ke._
_In char chizo ko chor kar Haiza aurte saari ibadate kar sakti hai._
_Ayesha r.a. farmati hai ki ek hajj me mai haiza ho gai, toh *RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм* ne farmaya, “Baitullah ke tawaf ke alawa baaki har wo kaam karo jo haji karta hai”._
*{Sahih al-Bukhari, Hadith- 293}*
_Umm Atiyya r.a. farmati hai ki *RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм* ne Haiz wali aurto ko bhi Eid ke roz Eidgah jane ka hukm diya taaki wo logo ke takbiro ke sath takbire kahe aur un ki duae ke sath duae kare lekin Namaz na padhe._
{Sahih al Bukhari, Hadith- 324}
No comments:
Post a Comment