find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Lockdown me Eid Ki Namaj Kaise Padhni Chahiye?

Agar Kisi Ko jamat ke sath Eid ki Namaj nahi mile to wah kya karega?
Ghar Pe Eid ki Namaj Padhne me khutba Diya jayega ya nahi?
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Lockdown mein eid ki namaz ka kya hukm?

وَأَمَرَ أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ مَوْلاَهُمُ ابْنَ أَبِي عُتْبَةَ بِالزَّاوِيَةِ، فَجَمَعَ أَهْلَهُ وَبَنِيهِ، وَصَلَّى كَصَلاَةِ أَهْلِ الْمِصْرِ وَتَكْبِيرِهِمْ.

हज़रत अनस बिन मालिक रज़ि अल्लाह अन्हु के ग़ुलाम इब्न अबि उतबा ज़ावीया नामी गांव में रहते थे। उन्हें आप ने हुक्म दिया था कि वो अपने घर वालों और बच्चों को जमा कर के शहर-वालों की तरह (2 रकात) नमाज़-ए-ईद पढ़ी और तकबीर कहा।

Hazrat Anas bin maalik razi Allah anho ke ghulam Ibn abi utba zavia Nami gaon mein rehte they. Unhe aap ne hukm diya tha ke woh apne ghar walon aur bachon ko jama kar ke shehar walon ki tarah (2 rakat) namaz e eid padhi aur taqbeer kaha.

حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ کے غلام ابن ابی عتبہ زاویہ نامی گاؤں میں رہتے تھے ۔ انہیں آپ نے حکم دیا تھا کہ وہ اپنے گھر والوں اور بچوں کو جمع کر کے شہر والوں کی طرح (دو رکات) نماز عید پڑھیں اور تکبیر کہیں۔

🌺Hazrat Anas (may Allah be pleased with him) would gather together his family and freed slaves, then his freed slave ‘Abd-Allaah ibn Abi ‘Utbah (lived in village called zavia ) would stand up and lead them (2 rakat) eid prayer saying the takbeers in them.

📜 *wazahat:* Jahan tak Eid ki namaz ka masla hai to Eid ki namaz har mukallaf par farz/wajib hai. Eid ki namaz ke Liye sunnat tariqa ye hai ki Eid ki namaz basti se baahar khule maidan (Eid-Gaah) me adaa kiya jaaye [📚Bukhari: 956]. Eid ki namaz ke silsile me is baat ka jawaaz milta hai ki kisi aham uzr ke tahat Eid ki namaz masjid me ya ghar me ada kiya ja sakta hai. *Filhaal Coronavirus (Covid-19) ki wajah se pure hindustan me lockdown laga hua hai aur har taraf bandi hi bandi yahan tak ki ibaadat-gaahen bhi band hain. Aisi iztirari haalat me Eid ki namaz ghar me ada karne me koi harj nahi hai. is ta'lluq se hamen kuch aasar Sahaaba kira'm se milte hain.  jaisa ke upar hadees mein bayaan kiya gaya hai. Imam nawawi r.a eid ki namaz ke talluk se farmate hain Ghulam aurten musafir aur khud se padhne wale ghar mein nahi padhenge toh fir aur kaha? [📚Al majmoo: 5/26].
Al Muzni rewayat karte hain imam shafai r.a se agar chaahe toh ghar mein namaz ada kar sakte hain, musafir, ghulaam, aurten [📚Mukhtasar Al umm: 8/125]. Ibne Qudamah (Hanbali) farmate hain: agar chahe toh akele padhe aur agar chahe toh jamaat se [📚Al Mughni: 2/289]. Al kharashi (maliki) farmate hain: har uss shakhs ke liye eid ki namaz padhna mushtahab hai jiski eid ki namaz jamaat se imaam ke saath chhoot gayi ho [📚 Sharah Al Kharashi: 2/104].
Ahmad Ismaa‘eel ibn Sa‘eed farmate hain ye mauquf; al-Jawzjaani, An-Nakha‘i, Maalik, ash-Shaafa‘i, Abu Thawr and Ibn al-Mundhir ka bhi raha hai.
🔹Note: *Eid ul fitr ke liye khutba dena farz nahi hai,* agar koi shakh ghar mein jamaat qayam kar raha hai apne ghar walo ke saath, agar woh chaahe toh khutba de sakta hai (agar khutba nahi diya toh isme bhi koi harj nahi hai).

_Sahih Bukhari: Jild 2, Kitab Al Eidain 13, Hadith no. 987_
*Baab: _Agar kisi ko jamaat se eid ki namaz naa mile toh phir 2 rakat padh le
Sahih Bukhari ma Fath Al bari: 2/474
📚 Sunan Al kubra: 3/305

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS