find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Eid ki Namaj se Pahle Fitra Nikalne ke Masail.

Ek Shakhs Ko apne taraf se Kitna Fitra Nikalna Chahiye?
Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail.*

📘Eid ul Fitr (Part-2)

      Fitranay ki adaigi:
_Eid ka chaand nikalney se Fitray ka wajibi waqt shuru ho jata hai lehaza Eid ki namaz se pehlay pehlay dhai kilo (2.50kg) anaaj ghar ke chootey badey tamam logon ki taraf se nikaal ke Fuqara or Masakeen ko de den._

عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَرَضَ زَكَاةَ الْفِطْرِ مِنْ رَمَضَانَ عَلَى كُلِّ نَفْسٍ مِنْ الْمُسْلِمِينَ حُرٍّ أَوْ عَبْدٍ أَوْ رَجُلٍ أَوْ امْرَأَةٍ صَغِيرٍ أَوْ كَبِيرٍ صَاعًا مِنْ تَمْرٍ أَوْ صَاعًا مِنْ شَعِيرٍ

*Tarjumah:*
_Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne ramadhan mein musalmaano mein se har shakhs par azaad ya gulaam, mard ho ya aurat, choota ho ya bada khajooron ka aik saa’ ya jaw (barley) ka aik saa’ Sadqat ul fitr muqarrar farmaya._
*📚{Sahih Muslim: 984}*

Eid ki raat ibadat:*
_Eid ki raat ibadat karney se mutalliq aik riwayat bayan ki jaati hai. Riwayat yeh hai:_

*قَامَ لَيْلَتَىِ الْعِيدَيْنِ لِلَّهِ مُحْتَسِبًا لَمْ يَمُتْ قَلْبُهُ يَوْمَ تَمُوتُ الْقُلُوبُ*

*Tarjumah:*
_Jis ne Eid ul Fitr aur Eid ul dono raton ko ajr o sawaab ki niyat se Allah Ta'ala ke liye qiyam kiya us ka dil us din murda nahi ho ga jis din dil mar jayengey._
*📚{Ibn e Majah: 1782}*

*❌❌Note - Yeh riwayat Zaeef hai (mauzoo) hai, is liye is se Daleel nahi pakdi jayegi. Is riwayat ko Sheikh Albani Rahimahullah ne “Zaeef Ibne Majah: 353” meinmauzoo kaha hai aur “Silsla az Zaeefah: 521” mein sakht zaeef kaha hai. Deegar Muhaddiseen ne bhi isey zaeef qarar diya hai.*

_Goya Eid ki raat ibadat karney se mutalliq fazeelat wali koi riwayat saabit nahi hai. Is ka yeh matlab hargiz na liya jaaye ke is din qiyam nahi kiya ja sakta hai, jis tarah doosri raaton mein qiyam karney ka sawab hai is umoom mein yeh raat bhi daakhil hai._

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
To get Reward in Akhirah,
Share this with your families and friends

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS