Momin Momin Ka Aaina (Miror) Kaise hota hai?
Dusro Ko Achi bato ki Nasihat karna aur Khud Uspe Amal nahi karne wala Shakhs.
*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM
Momin momin ka Aainaa hai.
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: momin momin ka aaina hai, aur momin momin ka bhai hai, woh uski jaedaad ki nigrani karta aur uski ghair maujoodgi mein uski hifazat karta hai.
Sunan Abi Dawud: jild 4, kitab Al adab 43, hadith no. 4918*_
wazahat:* koi Shakhs jab aaine ke samne khada hota hai apne chehre par koi gandagi dekhta hai to woh qata gawara nahi karta, woh apne chehre ki khoobsurti baqi rakhne ke liye balke woh use fauran saaf karta hai ek momin ko bhi chahiye ke jab woh kisi momin ke andar koi kami dekhe to isse apna aaina Samajhte hue uski kami ko apni kami samjhe aur use saaf karne ki fauran koshish kare, aaina ke samne ek faqeer khada ho ya badshah e waqt, woh kisi se nahi darta aur be khauf aur khatar haqeeqat ka izhaar karta hai, ek momin ko bhi dusre momin ko bhi isi aaina ki tarah be baak hona chahiye.
______________________
Logo ko achhi bate batane wala or khud us par amal na karne wale ko Qayamat ke din Jahannam me dala jayega.
=========================
Mafhom-e-hadees:-
Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo jahannam me dala jayega uske pet ki aantein "intestine" bahar nikal aayegi wo unko liye huve gadhe ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega Aur jahannam wale uske paas ekaththe honge usse puchenge ki Aye falah kya tu achchi baat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se mana nahi karta tha wo kahega main to Aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud us par amal nahi karta Aur dusron ko buri baat se mana karta tha lekin khud us se baaz na rahta tha.
[Sahi bukhari:7098]
_______________
सबसे पहली चीज, जो मोमिन को हासिल होगी वह कोनसी खुशी है
ReplyDelete