find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Womens Day And Islam (Islam ME Auraton KA Muqaam)

Women's day or islam

Sbse behtar insan wo hai jo ekhlaq me Apni Aurto ke huq me sbse behtar Ho.
Mafhom-e-hadees:-
Rasoolallah sallalahu-alaihiwasalam ne farmaya tum me se  Sbse behtar insan wo hai jo ekhlaq me Apni Aurto ke huq me sbse behtar Ho.
[Tirmizi 1162]
betiya Qayamat ke din jahannam se uski rokawat  (protection) hongi
 Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmya jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare to wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi
[Sahih Muslim, Vol 6, 6693]
Beti bachao ( Save girl child) Quran ne 1400 sal pahle hi kh di hai.
Quran Surah:81 ayat 8-9
--------------------------------------------------
Ladki ka Nikah usKi Ijazat Ke Bina Na Kiya Jaye
Mafhom-e-hadees:-
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
kisi kuwari ladki ka nikah us waqt tak na kiya jaye jab tak us se ejazat na le li jaye
Aur Kisi Bewa Ka Nikah Us Waqt Tak Na Kiya Jaye Jab Tak Uska Hukm Maloom Na Karle
Sahaba Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alahiwa Sallam Ladki Ki Raza Mandi Kaise Maloom Ki Jaye?
Aap Sallallahu Alahiwa Sallam Ne Farmaya Ladki Ki Khamoshi Uski Raza Mandi hai
  [Sahih Bukhari:#6968]
Apne ghr ke kamo me ghr ki Aurto ka hath batana sunnat hai.

--------------------------------------------------
Mafhom-e-hadees:-
Rasoolallah sallalahu-alaihiwasalam apnr ghr ke kam kaj yani apne ghr waliyo ka hath bataya karte the or jub Namaz ka wakt hota to fauran(kam kaj chhod kar) Namaz ko chle jaya krte the.
[Sahi bukhari: 676]
Share:

3 comments:

  1. Masha Allah
    Islam ne Auraton ko har tarah ki aazadi mili hai

    ReplyDelete
  2. Jo izzat islam ne Auraton ko di hai wah shayed duniya ke kisi mazhab ne nahi di hai.

    ReplyDelete
  3. Islam hi aurato ko sabse jyada izzat diya hai

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS