Kya Women's Day, Teacher's Day, Mother's Day, Father's Day Aur Aise Tamam Din Jin Ka Tasawur Hamare Deen-e-Islam Mein Nahe Milta Hain. Kaya Aise Dino Par Dusre Mazhab K Logon Ki Tarah Kuch Khas Kaam Jo Wo Karte Hain Hamein Bhi Karna Chahiye?
Jawaab:
السلام ورحمة الله وبركاته.
الحمد لله
Deen mein koi bhi aisi chiz shamil karna jo iska hissa nahi wo radd hai chahe wo kitna he acha kiun na lage. Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya
حَدَّثَنَا آدَمُ بْنُ أَبِي إِيَاسٍ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، أَخْبَرَنَا عَمْرُو بْنُ مُرَّةَ، سَمِعْتُ مُرَّةَ الْهَمْدَانِيَّ يَقُولُ: قَالَ عَبْدُ اللَّهِ: ""إِنَّ أَحْسَنَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ، وَأَحْسَنَ الْهَدْيِ هَدْيُ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَشَرَّ الْأُمُورِ مُحْدَثَاتُهَا، وَإِنَّ مَا تُوعَدُونَ لَآتٍ وَمَا أَنْتُمْ بِمُعْجِزِينَ"".
sab se achi baat kitaab Allah aur sab se acha tareeqa Muhammad sallAllahu alaih wasallam ka tareeqa hai aur sab se buri nai baat ( bidat ) paida karna hai ( deen mein ) aur bilashuba jis ka tum se wada kya jata hai woh aa kar rahay gi aur tum parvar-digaar se bach kar kahin nahi ja satke.
(Sahih Bukhari 7277)
Islam Ki Taleem K Lehaz Se Aise Dino Par Khushi Manana Jis Se Hamain Deen Me Mana Na Kiya Ho Koi Harj Nahe Hai Jese Shadi, Ya Kisi Bache Ka Aqeeqa Karna Aur Aise Hi Wo Tamam Muamlaat Jin Me Deen Ne Hamain Ijazat Di Hai .
Aur Jin Tewharon Se Hamain Deen Me Mana Kiya Gaya Hai Wo Aise Hain Jin Me Koi Gunnah Ka Kaam Kiya Jaye Ya Jin Me Kuffar K Sath Mushabihat Ho Jesa K Un K Tehwar New Year Wagera Wagera . Hadees Me Bhi is Ka Zikr Aya Hai K "Jis Ne Kuffar K Sath Mushabihat Ki Wo Qayamat K Din Unhi Me Shumar Kiya Jaye Ga"
Ab Ham Agar Aise Dino Ki Dekhain Jin Me Teacher's, Mother's Aur Father's Day Shamil Hain Ya In Se Milte Aur Din To Ye Sab Kuffar Ki Taraf Se Hain.
Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya.
حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا أَبُو النَّضْرِ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ ثَابِتٍ، حَدَّثَنَا حَسَّانُ بْنُ عَطِيَّةَ، عَنْ أَبِي مُنِيبٍ الْجُرَشِيِّ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ .
Rasool Allah sallAllahu alaihi wasallam ney farmaya : jis ney kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki to woh unhi mein se hai.
(Abu Dawood 4031)
Hamain Apne Waldain Aur Usatza Ki Rozana Hi Izzat Krna Hain Aur Ehtram K Sath Un Se Paish Ana Hai .
Aur Hamare Waldeen Aur Usatza K Bare Hamain Jo Taleem Islam Ne Di Hai Wo Kuffar Kabhi Bhi Nahe De Sakte Hain . Hamain Islam Ne Un Ki Jo Farmabardari Ka Hukum Diya Hain Us Se Barh Kar Kaya Ho Sakta Hai Hadees Me Walid Ko Jannat Ka Darwaza Kaha Gaya Hai Kaha Gaya Hai K Màa K Qadmon K Neeche Jannat Hai Subhan Allaah . Aur Aise Hi Usatza Ka Bhi Nehayat Ehtram Sikhaya Gaya Hai.
Nabi (Sallalahu Alayihi Wasallam) Ne Farmaya : K Koi Bhi Aise Farmabardari Jis Me Gunnah Shamil Ho Wo Daroost Nahe Hai. Kaam Sirf Wohi Qabool Hai Jo Sahih Aur Daroost Ho" al-Bukhaari, 7257
Shaykh Muhamamd ibn Saalih ibn ‘Uthaymeen (Rahimahullah) Likhte Hain K Aise Tamam Tehwar Deen Me Nahe Hai Aur Na Hi Salaf Me Se Kisi Se Aise Koi Baat Milte Hai .Ye Tamam Kuffar Ki Taraf Se Hain Aur Allaah K Dashmano Ki Taraf Se Hain . Hamain Jo Tehwar Deen Me Diye Gaye Hain Wo Eid ul-fitr Eid ul-Adha Aur Haftawar Eid Yani Jumma Ka Din Hai.
جزاکم اللہ خیرا
Masjid ki मीनार ke bare me kya kahna hai ye bhi इस्लाम me पहले नहीं थी hazrat umar ke jamane me aai है
ReplyDeleteBiddat ki Tarif padhiye Biddat kise kahte hai aur iske kitne aqsam hai, Biddat search kijiye
Deleteजी हाँ .. जुम्मा मुबारक बोलना बिदत यानी की नया काम है लेकिन यह गलत नहीं है… जेसे की मस्जिद में मीनारे बनवाना, लाउड स्पीकर में अज़ान देना, ये सब भी नए काम यानी की बिदत हैं लेकिन गलत नहीं है..दरअसल बिदत दो तरह की होती है एक बिदत जो इस्लाम की तालीम के खिलाफ होती है एसी बिदत से गुनाह होता है . दूसरी बिदत जो इस्लाम, कुरान और हदीस ए पाक के खिलाफ नहीं है उसे करने की इजाज़त है उससे कुछ गुनाह नहीं होता….कुछ बिदत तो बहुत ज़रूरी है जैसे की कुरान ए पाक में ज़ेर और ज़बर आदि मत्राए लगाना … जुम्मा मुबारक बोलने के कई फायदे भी हैं आपस में मोहब्बत बढती है, मुबारक मेसेज के साथ कोई हदीस इ पाक या अच्छी बात शेयर की जाती है. इस पेज से हजारों खुबसूरत जुम्मा मुबारक इमेजेज डाउनलोड कर सकते हैं
ReplyDelete1000+ Jumma Mubarak image