find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Akhlaq Ki Khubsurati Kitni Haseen Hai.

Akhlaaq Ki Khubsurti Iman Ke Aitbar Se Momino ko Kaamil Banaati hai.

Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai
Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”
(Abu Dawood #4682) 

Wajahat: Lekin Yaad Rahe: Akhlaaq Ki Khubsurti Momino Par Faraiz Ko Saaket (Exceptional) Nahi Karti ,.
Yaani Ke Bus Namaz, Roza Chorr Do Aur Acche Aklaakh Ikhtiyar Kar Lo,..
Yaad Rakhiye Aisa Nahi Hai Bilkul Bhi,
Namaz, Roza, Hajj, Zakat Jaise Faraiz Ki Pabandi Tou Karni Hi Hai Har Haal Me ,..
Lekin in Saari Baato Ke Saath Akhlaaq Ki Khubsurti Bhi Bohot Jaruri Hai ,..
Iske Talluk se ek Riwayat Aati Hai Ke –

Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas 2 Aurto Ka Zikr Kiya Gaya
Usme Se Rasool’Allah Ne Ek Ko Jahannumi Kaha Aur Dusri Ko Jannati,

Pehli Aurat Farazi Ke Sath Nawafil Ki Pabandi Karne Ke Bawajud Bhi Mehaz Burey Akhlaak Ke Sabab Jahhnum Me Jaati Hai ,..
Aur Dusri Aurat Sirf Faraiz Ada Kar Ke Jannat Ki Haqdaar Hoti Hai Kyunki Uske Akhlaaq ki Khubsurat Thi
(Islami Akhlaq-o-Aadab, Page 234, Hadith no. 12)
Tou Iss Aahadeese Mubarak Se Pata Chal Ke Huquq-Allah Ko Ada Karne Wala Bhi
Agar Huquq-Al-Ibad Me Kotahi Karta Hai Tou Wo Jahannumi Hai.
Lihaja Hume Chahiye Ke Apne Aklhlaaq Ko Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Umda Karey.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS