*.. RAMZAN AUR ROZA .* *
PART – 3
Ramzaan ka chand dekh kar roze shuru kiye jate hain. Roza niyat kar ke shuru kiya jata hai vo bhi fajir se pehle...... aap aesa nahi kar sakte ki subah 10 baje uthkar sooche ki chalo subah se kuch nahi khaya to mera roza hai ........ fajir se pehle niyat zaruri hai iske liye koi alfaz bolna sunnat se sabit nahi Ya koi dua padhne ki zaroorat nahi. Aap dil main neeyat karenge ke mujhe roza rakhna hai....ye farz rozon ke liye hoga. Agar ap napaaki ki halat me hain to pehle aap vazu karke sehri kar lein uske baad aap naha lein naha ke phir aap fajir ki namaz padhein to phir apka roza shuru hoga. ▪ Ab roze mein kya kya karna hai aur kya nahi karna ......
Aap roze mein kya kya kar sakte hain??
1⃣ Roze me subah uth kar aap brush kar sakte hain. Aap paste bhi use kar sakte hain. Bohot sare ulama ka isme ittefaaq hai ke aap aesa kar sakte hain. isme apko ye dhyan rakhna hai ki paste pet (stomach) ke ander na jaye .brush karne ke baad aap tooth brush ko achhi tarah dho kar wapas khali brush karein taki jitna bhi paste muh me bacha hai vo poori tarah nikal jaye. Phir aap din bhar miswaak use kar sakte hain. Taaki muh me jo bacteria grow ho rahe hain to vo saaf ho jaye. Ab yahan par ye kaha jata hai ke Allah swt ko rozedaar ke muh se aane vali smell mushk se bhi zyada pasand hai. To ye smell khali stomach se aati hai. Muh se nahi. Jab aap bhooke rahenge to ye smell stomach se aaegi. Uski baat Allah swt ne ki hai.
2⃣ Ap surma laga sakte hain.
3⃣ Aap hair oil daal sakte hain.
4⃣ Aap naak me dava daal sakte hain .... nose jo block ho jati hai vo kholne ke liye ho. Vo dawa aesi na ho ke aapke halaq me chali jaye. Yani apke halaq me kuch nahi jana chahiye. Aap nasal spray use kar sakte hain bas vo halaq main na jaye.
5⃣ Agar bohot zyada garmi hai to aap geela dupatta ya geela kapda karke sar per rakh sakte hain. Agar aap bahar ja rahe hain to.
6⃣ Chot lagne se jo blood nikalta hai usse roza nahi toot ta. blood test karvane se bhi roza nahi tootta. Koshish karein ke roze ke baad blood test karvayen. Lekin agar empty stomach karana hai to aap roze ki halat me blood test karva sakte hain.
7⃣ Agar vomiting ho jaye apne aap to roza nahi toot ta. Lekin agar aap khud se halaq me hath daal kar vomit karein to is amal se roza break ho jaega.
8⃣ Baal kaat sakte hain. Ab phir kuch log poochte hain ki shave kar sakte hain ya nahi. to daadhi (beard) ko jab aap shave karte hain to aap Allah ki nafarmaani kar rahe hote hain. To ak to apne roza rakha hai phir bhi aap nafarmaani kar rahe hain isse roza to nahi tootta Lekin Allah ki nafarmani hoti hai.
9⃣ Zaban ki tip se aap namak bhi taste kar sakte hain. Lekin Behtar ye hai ki aap na karein. Ab koi bohot zyada beemar hai aur use injection lagwane ki zaroorat hai. To lagwa sakte hai. Lekin ye injection aesa na ho ke apko weakness hai to apne glucose ki drip lagwa li. Yani aesi koi cheez jis se ke apko nutrition mil raha hai to usse roza toot jata hai.
1⃣1⃣ Aap ointment laga sakte hain.
1⃣2⃣ Baalo me mehndi laga sakte hain.ke thodi thandak mile.
1⃣3⃣ Naha ke khushboo laga sakte hain.
1⃣4⃣ Dant tootne se jo blood nikakta hai usse bhi roza nahi toot ta.
1⃣5⃣ Kuch log kehte hain ke abaya pehenna kya zaroori ramzaan main... Agar abaya nahi pehnenge to kya roza toot jaega. To burqa pehenna Allah ke hukum ko follow karna hai. Kyonki Allah ka hukum hai ke aap parda karein. To agar aap beparda bahar ja rahi hain to aap Allah ki nafarmaani kar rahi hain. To isse aap par Allah ki nafarmaani ka gunah hoga lekin usse apka roza nahi tootega. *〰........〰* *▪
Ab agla question ye hai ki kise roza rakhna hai ??*
Jo bhi puberty ko pohonch chuke hain. Baaligh hain un sab par roza farz hai. Aur agar jaanboojh ke apne roza choda hai to ye kabeera gunah hai. Kyonki roza rakhna farz ibadat hai. Allah SWT ne compulsory kiya hai roza rakhna. Sirf agar koi beemar hai.ya safar me hain aur unke liye roza rakhna mushkil ho raha hai to vo roza chodh sakte hain . Lekin aese mein bhi jab vo theek ho jaye to ramzaan ke baad vo jo roze chodhe the unhe rakhna hoga. total number 29 ya 30 roze ki use poora karna hoga. kuch log jo baad mein bhi roza nahi rakh sakte kyonki vo buzurg hain ya koi aesi bimari hai jisme vo baad main bhi roza nahi rakh sakte to unko chahiye ke ak roze ke badle main ak gareeb ko khana khila dein. Ya Rs.40-50 (indian) de deen ye roza na rakhne ka kaffara hoga. yani fine. Apni apni country ka jo bhi muqarrar amount ho vo deen. Lekin agar kisi ne agle ramzaan aane tak apne choote hue roze nahi rakhe to kaffara bhi dena hoga aur roze bhi rakhne honge ye unke liye hai jinhone safar ya bimari ki vajah se ramzaan ke roze chodhe aur baad main vo rakh sakte the lekin nahi rakhe. Agar kisi ke roze choote the aur death ho gaye to unke varisoon ya banchcho ko vo roze rakhna honge ya kaffara dena hoga.
1⃣7⃣ Roze main Eye drops. Ear drops bhi dal sakte hain.
1⃣8⃣ Internal check up bhi karwa sakte hain.
1⃣9⃣ Asthma patients puff use kar sakte hain. *〰........〰* *▪Next question ....Ab agar kisi ne roza toda.??* agar koi bahar gaya aur garmi ki vajah se uski itni tabiyat bigadi ke uski jaan jane ka khatra hua aese mein roza tod sakte hain. Sirf aese particular cases mein. *▪ Ab next question hai agar kisi ne jaan boojh kar roza toda to* vo gunaahe kabeera hai... Bohot........ Bohot Bada gunah hai. Uske liye usey bohot tauba karna padegi Allah swt se aur phir se jo roza toda uski qaza bhi deni hogi. Yani ye roza baad main rakhna hoga . *〰........〰* *▪
Next question is... husband wife ka relation nahi hota hai roze mein lekin agar by chance boundaries cross ki to* phir kaffara dena hoga . . Gunahe kabeera bhi hoga aur kaffara bhi hoga. Kaffara ye hoga ki ya to ye ak ghulaam azad karein jo ajkal ke zamane mein possible nahi to phir 60 roze rakhna honge ... continuously. Yani ek roza bhi beech main nahi chodh sakte. Ek bhi roza choda to phir se 60 days ke liye roza rakhna hoga. Aur agar jaan pe ban sakti hai means agar 60 roze nahi rakh sakte Itne kamzor hain to phir aese me 60 miskeen ko khana khilaenge. ..ye fine hoga. Kaffara means fine hai. ke apne Allah swt ke rule ko break kiya hai to uska apko fine pay karna hoga. *〰........〰* *▪ Roze mein karne ke kaam kya kya hain??* Fajr ki namaz ke baad quran padhen . Subah ki duaein ka ahtemaam karein namaazo ko waqt pe adaa karein. Zyada se Zyada quran padhein. samjhe jo padha hai use dosroon tak bhi pahunchayeen .....
Duaein karein. Apne liye bhi Doosro ke liye bhi ..... Kasrat se istaghfaar karein kyonki ye bakhshish ka mahina hai. Jitna ho zaban se istaghfaar karein. Kaha gaya hai.... keep your tongue moist with zikr of Allah. ..... apni zaban ko Allah ke zikr se tar (moist) rakhein. kitchen me agar kaam kar rahe hain to uska bhi proper use karein. kisi bhi surah ki tafseer sune ......... Office me kaam kar rahe hain aur agar aap Qur'an nahi padh sakte to headphone lagakar Qur'an ka translation sune .... Zyada se Zyada sadaqa karein. jab bhi hum Allah swt ki nafarmaani ke kaam karte hain to Allah swt hum se naraz hote hain. Agar hum sadqa kar dete hain ya phir Allah SWT se tauba istaghfaar karte hain to ak gunah ak naiki mita deti hai. Koi bhi galati ho to foran ak achha kam kar lein. hum koi galat kaam karte hai to farishta jo hamare aamal likh raha hota hai vo pen rok deta hai thodi der ke liye. ki shayad ye banda istaghfaar kar le. Agar hum istaghfaar kar lete hain to hamara galat kaam hamare amaal naame per nahi likha jata. Koi bhi aese nafarmaani ke kaam na karein. Jaise unnecessary markets na jayeen... bohot zyada agar zaroori hai to hi shopping karein vo bhi parde ke ahtemaam ke saath. Taki jo rozedaar hain unka roza apko dekhkar kharab na ho . Jaise make up karke na jaein etc. Log baar baar poochte hai kisse roza toot ta hai ....... Bani israel ke bare main aata hai ke vo machhar to chaan chaan ke peetey the aur oont (camel ) nigal jate the..... Yani ki chhoti chhoti cheezein to bohot mind karte the jaise ye karna hai vo nahi Lekin jo bade bade gunah hai vo araam se kar jate the............. Shayad hum bhi aesa hi karte hain.... jaise jhooth bolna kabeera gunah hai. Phir gheebat karna bohot bada gunah hai.hamain chahiye ki isse perhez kareen. .. Naap tol measurements mein kami karna. ...kabeera yani bada gunah hai.... Jaise aap businessman hain koi kapda lene aaya to apne kam naapa. Kam tola. To ye bhi bohot Bada gunah hai. logon ko unki salary time par aur pori na dena ye bhi isi main aata hai Qur'an main saaf saaf is gunah se bachne ke liye kaha gaya hai.... Shoeb Alahissalam ki qaum naap tool main kami karti thi paighambar ke samjhane par bhi vo na mane to un par Allah ka azaab aaya....
Parents ki nafarmaani.
Waaldain se oonchi awaz me baat karna . Ye bhi kabeera gunah hai. Allah ne Qur'an me farmaya hai ki maa baap se uff karke bhi baat na karo. koi galat baat bhi karein to tum bardaasht karo. Unke saath ahsan ka mamla karo. Ahsan ye hai ke agar apko koi kam de raha he to aap usse zyada dein. Badle ki tavaqqo na kareen. Ye sab kabeera gunah hain. In sabse bachein roze main bhi aur vese bhi. Kyonki roze ka maqsad hi hai taqva hasil karna. Ab roze mein time pass karne ke liye ye na karein ke aap match . TV. .. movie dekhain.... Kuch log roza iftaar ke baad samjhte hain ki ab time khtam ho gaya ab jo chahe kar sakte hain. Jo galat hai. Ye maghfirat ka mahina hai to koi bhi aesa kaam na karein. Ke roze ka ajar mila aur apne doosre galat kaam karke use zaya kar diya.
Agar roze se apko 10 points miley to TV dekhkar apne apne 10 points gawa ke aur ulta 10 points ka gunah le liya. To in sab cheezo se bachne ki zaroorat hai ......
sawaal karna chahie ke humne hamare parents se oonchi awaz lme baat kar li ab hum kya karein. In sab batoon par to hum dhyan bhi nahi dete aur hum ye poochhtey hai ke hum ointment laga sakte hain ya nahi. In sab choti cheezo ke bare me Hum bohot zyada conscious rehte hai ke karein ke na karein aur jo sahi me roze me karne ke kaam hai vo miss kar dete hain. Allah ta'ala hum sab ko rozoon ka pora ajar de hamare abhi tak ke sare gunah mauf farmaye aur hidayat de ki hum taqva hasil kareen aur aage bhi gunahoon se bacheen *..AAMEEN* . *〰........〰* ➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment