*.. RAMZAN AUR ROZA .* *
PART – 2⃣
QUR'AN KO SAMJHEN*
Jab hum duniya ka koi exam dete hain to syllabus ko achchi tarah padhte hain... nahi samjh main aata to tuitions lete hain phir exam dete hain.... Lekin jo sabse bada hamari zindagi ka exam hai uska syllabus bagair padhe bagair samjhe hum exam de rahe hain ...isliye itni galtiyaan karte hain Allah Ta'ala ko naraaz karte hain Allah ke gazab ko bhadhkate hain. .... phir jab hamare kaam nahi hote to pareshan hote hain ki aesa kyon hua ........ Allah Ta'ala khud Qur'an main farmate hain ki agar tum chahte ho ki tumhari duayeen qubool hoon to Allah ki baat mano ...... Isiliye kaha gaya ki zyada se zyada istaghfar karo yani din bhar agar gunah ho bhi gaye hoon to Allah se maufi mangte jao taki Allah ka gussa na bhadke......
Jab Allah Ta'ala naraz hote hai to barish band ho jati hai rizq main tangi hoti hai .... Surah Nuh main Allah Taala farmate hain apne gunaho ki maufi mango to Allah Ta'ala barish denge aulaad denge rizq denge....
Allah Ta'ala humse kya expect karte hain uske liye Qur'an ko samjhna bahot zaruri hai... Lekin Shaitaan ne humko apne jaal me aese phasaya hua hai ki hum sirf Qur'an ko read karte hain aur samjhte hain ki bas iska haq ada ho gaya .
lekin sochein padhne me bhi hum kitni galtiyaan karte hain aur nahi jaante? Jaise hindi me chinta aur chita sirf ek na ki bindi ka fark aa jane se pora meaning change ho jata hai isi tarah hum Qur'an me zeer aur zabar ki galti karte hain ya alif ki avaz badha dete hain to pora meaning change ho jata hai.
ALLAH SWT phir bhi hum par kitne meherbaan hain ALLAH Ta'ala ramzaan me jannat ke darwaze khulva dete hain aur jahannum ke darwaze band karva dete hain.
ALLAH Ta'ala hamare liye jannat me jane ka rasta aasaan bana dete hain ki zyada se zyada apne gunaho ki maufi ramzaan main mango to Allah Ta'ala hamare sare pichle gunah mauf kar denge . *〰..........〰* *RAMZAAN KA MAQSAD*
Allah Ta'ala chahte hain ki hum roze main apne purane gunah maaf karva le paak ho jaye aur aage bhi Qur'an ki madad se gunahoon se bachte jayeen.... aur isi tarah se bachte bachte hum jannat main pahunch jayeen. To Ramzaan ka asal maqsad zyada se zyada Qur'an samjhna hai ...... *〰........〰*
*ROZE AUR RAMZAAN KI FAZILAT*
Aap S.A.W har Monday aur Thursday ko roza rakhte the aur har mahine ki chand ki 13-14-15 tareekh ko bhi roza rakhte the.. Monday aur thursday ko week me do baar hamare amaal ALLAH swt ke samne pesh hote hain jo bhi humne kiya hota hai... Aap S.A.W isliye roza rakhte the ki jab ALLAH ke samne amaal pesh hoon to hum roze se hoon to ALLAH Ta'ala naraz na hoon ki ye mera banda roze se hai. Kyunki ALLAH Ta'ala farmate hain insan ka har amal uske liye hai lekin roza mere liye hai.. aur main hi uski jaza yani badla de sakta hoon.
Jannat main ak darvaza hai Baab-e Rayyan jisme se sirf roza rakhne vale log hi guzar sakenge. Itni respect alag se di jayegi rozedaroon ko. Lekin shart ye hai ki roza aapne sirf ALLAH ke liye rakha ho na ki logon ko dikhane ke liye . aesa na ho ki aapka roza bhi ho aur aap jhoot bhi bol rahe hain sab galat kaam bhi kar rahe hai to aese roze ki Allah Ta'ala ko zarurat nahi. Hamain ramzaan me har wo kaam karna chahiye jo ALLAH swt ko pasand ho har us kaam se bachna chahiye jisse ALLAH Ta'ala naraz hoon!!
Aap S.A.W ramzaan ke mahine me bahot zyada sadaqa karte the aur ramzaan me Jibrael A.S ke saath jitna Qur'an nazil hua hota tha wo sunaya karte the.
West me and foreign countries me jo revert ho rahe hain wo itna pakka imaan late hain ki hijab karna beard rakhna 5 times ki namaz padhna unke liye mushkil nahi hota kyonki vo Qur'an ko samjhte hain phir islaam accept karte hain. taraweeh ki har 4 rakat ke baad vahan sabko explain kiya jata hai ki unhone kya padha Allah Ta'ala kya chahte hain. Ye sab isliye ki wo log quran ko samjhte hain ALLAH swt ne jo weapon diya use use karna seekhte hain. Taqwa ikhtiyar karte hain
MashaALLAH !!! Hamain bhi Qur'an ko samjhna chahiye!! Aur us par Amal karna chahiye !! To jab hum Qur'an ko samjh kar padhna shuru karenge tabhi hamare andar bhi wo pakka imaan paida hoga. *〰........〰* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment