*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*Hum dua karte hai aur Dua qabool kyu nahi hoti*
Ibraaheem bin Aadam رحمه الله bazar se guzar rahe the ek bazar basra (iraq) me aur unke ird-gird log jama hue aur unse puchne lage :- Aey Ishaaq ke walid *Hum dua karte hai lekin hamari dua qabool kyu nahi Hoti..?*
Ibraheem bin Aadam ne jawab diya :-
*Kyuki Tumhara dil murdar ho chuka hai 10 chijo se/ya 10 chijo ke liye*
Logo ne kaha woh kiya hai ..? unhone jawab diya ...
أنكم عرفتم الله ؛ فلم تؤدوا حقه
*1) Tum Allah ko jante ho lekin uska haq ada nhi karte*
زعمتم أنكم تحبون رسول الله صلى الله عليه وسلم ،ثم تركتم سنته
*2) Tum yeh dawa karte ho ke tum Rasulallah ﷺ se muhabbat karte ho lekin unki sunnat ko tum chod dete ho*
قرأتم القرآن ، ولم تعملوا به
*3) Tumne quran padha lekin uske mutabiq Amal nhi kara*
أكلتم نعمة الله ، ولم تؤدوا شكرها
*4) Tumne Allah ki ne'mato se khaya lekin uska shukar ada nhi kiya*
قلتم إن الشيطان عدوكم ، ووافقتموه
*5) Tumne Mana ke shaytan tumhara dushman hai lekin tum uske sath ho gye(uske peche chalne lage)*
قلتم إن الجنة حق ، فلم تعملوا لها
*6) Tumne kaha Beshaq jannat haq hai lekin tumne uske liye mehnat na kari*
قلتم إن النار حق ، ولم تهربوا منها
*7) Tumne kaha Beshaq jahannum barhaq hai tumne usse bachne ke liye kuch kaam nahi kare*
قلتم إن الموت حق ، فلم تستعدوا له
*8) Tumne kaha beshaq maut barhaq hai lekin tumne uski tayari na kari*
انتبهتم من النوم ، واشتغلتم بعيوب الناس ، وتركتم عيوبكم
*9) Tum neend se baidaar hue aur apne aap ko mashgul rakha dusro ki galtiyon me aur khud ki galti bhool gaye*
دفنتم موتاكم ، ولم تعتبروا بهم
*10) Tumne apne qareebi ko dafnaya lekin usss sabaq hasil nahi kara*
*Ref:-*
الكتب » حلية الأولياء لأبي نعيم » إِبْرَاهِيمُ بْنُ أَدْهَمَ 11397
No comments:
Post a Comment