Kya Hme waseele ke Sath dua karne pe hi hmara Rab Qabool karta hai.
Hme kis Tarike Se Allah Se Dua Karni chahiye.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*Hum sirf teri hi ibadat karte hai aur tujse hi madad chahte hai*
( Quran 1:4)
*Allah ke Rasool ﷺ ki behtreen naseehatein*
Hadees :-
Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه bayan karte hai ki ek din me Rasulallah ﷺ ke peche Sawari par tha rha Aap ﷺ ne farmaya :-
*Aey Bete ! Me tumhe kuch baate sikhata hu :-*
Tu Allah ke (akhaam ) ki hifazat kar Allah teri hifazat farmayga.
Tu Allah ke (huqooq) ka khayal rakh Tu use (Allah ko) apne saamme payga
Jab tujhe kuch sawal karna ho to sirf Allah se sawal kar
Aur jab tuje madad ki zarurt ho to sirf Allah se hi madad maang
Aur achi tarah jaan le agar sari duniya is baat par jama ho jaye ki tuje kisi chij se faida pochucha sake to woh kabhi bhi nhi pohcha sakte ha magar js chij ke sath jo Allah ne tere naseeb me likh di. Aur agar sari duniya is baat par jama ho jaye ki woh tuje kisi chij se nuqsaan pohcha sake to woh kabhi bhi nahi pohcha skte lekin itna hi jitna Allah ne tere qismat me likh di.
Qalam Utha liye gaye hai aur sahifein khusk ho chuke hai.
*Ref:-* Musnad Ahmed 1/293
Mishkat 5203,Tirmizi 2516
Hasan - Abu isa at-tirmidhi,Albani
*1) Pehli Naseehat yeh thi ke Allah ko yad rakh Allah tuje yaad rakhega*
Iska matlub yeh hai Allah ke haq aur uske hukum par amal karke aur uske mana kiye hue kaamo se ruk jao.Iska natija yeh hoga ki tu Allah ki hifazat aur amaan me rahega.
*2) Dusri Naseehat yeh ti ki tu Allah ka khyaal rakh Allah ko apne samne payga*
Matlub yeh tumhara kaam bna dega tumhari pareshaniyon ko dur kardega woh tera har haal madadgar bana rahega.
*3) Teesri Naseehat jo Allah ke Rasool ﷺ ne ye di hai ke jab tu sawal kare(madad mange) srf Allah se hi kar
Yeh dua to hum namaz ki har rakah me surah fatiha ke andr karte hai ke Aey Allah hum teri ibadat karte hai aur tujse hi madad mangte hai. Allah aur uske bande me beech koi fasla duri nhi islie ke bande ko chahiye ke bina kisi waseele ke Allah se maange .
No comments:
Post a Comment