*اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَتُهُ* *بِسمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ* *کیا حال ہوگا ان لوگوں کا جو اذان کے بعد دیر لگاتے ہیں۔* *
KYA HAAL HOGA UN LOOGON KA JO AZAAN KE BAAD DER LAGAATE HAI.* *.
Abu-Hureraah Radiallahu Ta'aala Anhu ne kaha ke.......* *. Hazarat Umar Radiallahu Ta'aala Anhu aik din Juma'a ka khutbah loogon mai padate the ke........*. *.
Usmaan bin Af'faan Radiallahu Ta'aala Anhu aaye aur Hazarat Umar Radiallahu Ta'aala Anhu ne unki taraf isharah karte huwe kaha ke. :*. *. " Kya haal hoga un loogon ka Jo Azaan ke baad der lagaate hai "❓* *. To Hazarat Usmaan Radiallahu Ta'aala Anhu ne kaha ke :* *. " Aye Ameerul Momineen ❗jab maine Azaan suni to aur kuchh nahi Kiya , siwa Wazu ke , Ke Wazu kiya aur aaya*. *. Hazarat Umar Radiallahu Ta'aala Anhu ne kaha:* *. " SIRF WAZU HEE KIYA❗* * " Tumne nahi suna ke Rasulallah Sal'lal'lahu Alayhi wa Aalehi wa Sal'lam farmaate the ke........*. *. " JAB KOI JUMA'A KO AAYE TO ZAROOR NAHAAYE ".* *SAHEEH MUSLIM* *. Jild : 1* *. Juma'a ka bayaan.* *. Hadees No. 3* *. Page No. 312* *. Urdu Edition .*
No comments:
Post a Comment