🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*"Jazak Allahu*
*Khairan"* *Ka Matlab Aur Iska Jawab*👇🏽 (Jazak Allah Meaning In Roman Urdu)
Usamah bin Zaid (R.A) se riwayat hai ki, Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
*“ Agar kisi ke saath koi neki ka suluq kiya gaya aur usne neki karne wale se kaha Jazak Allahu khairan ( Allah aapko achcha sila ata farmaye) , tou usne uski puri tarif kar di ”*
- (Jamia tirimizi, Jild 1, 2101-Hasan)
✦ Umar ibn Khattaab (RaziAllahu anhu) ne farmaya: “Agar logo ko jazak Allahu Khairan kahne ka sawab malum ho jaye tou wo ek dusre ko ye bahut zyada kahne lag jaye”
📖 – (Musannaf Ibn Abi Shaybah, 26519)
✦ *Jazak Allahu Khairan Ka Jawab:*👇🏽
📗- *Hadees:* Ek baar Usaid bin Haider (RaziAllahu anhu) ne Rasoolullah (ﷺ) se farmaya, Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Jazak Allahu Khairan (Allah aapko achcha sila ata farmaye),.
Tou unke jawab me Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya – “Wa antum fa Jazakum Allahu Khairan ( Aur aapko bhi, Allah aapko bhi achcha sila ata farmaye)”
📖- (Sahih Ibn Hibban, 7436 -Hasan)
📗- *Hadees:* Abu Hurairah (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
“Wo Allah ka ShukrGhuzar nahi ho sakta jo bando ka Shukrguzar na ho”
– (Sunan Abu Dwud, Vol 3,1383-Sahih)
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala*... ✅
No comments:
Post a Comment