find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Apne Aadmi Ke Mar Jane Par Uske Qaber Par Majar Bnane Wale Nabi Ki Laanat.

Apne Ghar Ke Kisi Aadami Ke faut Ho Jane Par Uspe Qaber Bnana Kaisa Hai?

Jo bhi log apne ghar wale ke intekal ho jate hai aur log qabro pe mazar banwate hai Allah Ta'Aala wose inshan par lanat bhejta hai
Yahud aur Nasara par ALLAH ki laanat ho kyunki unhone apne Nabiyon ki kabron ko ibdat ki bana liya tha.
Ammi aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki
Ammi habiba aur Amma salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jisey unhoney habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhoney uska tazkara Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam se bhi kiya,
*Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
*Ki agar koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banatey aur usmein yahi tasweerain bana detey , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq se burey hongey. Sahih Bukhari , Vol 1,  427*
*Hazrat aayesha aur hazrat Abdullah Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki
*Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
*Yahud aur Nasara par ALLAH ki laanat ho kyunki unhone apne Nabiyon ki kabron ko ibdat ki bana liya tha, Aap Sallallahu Alaihi wasallam is bure amal se ( musalmano ko) dara rahe the
Sahih Bukhari, Vol 7, 5815*
Aisha Radi allahu anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Apne aakhri marz ke waqt ye farmaya tha ki Allah subhanahu ki laant ho yahud aur nasara par , unhone apne ambiya ki qabro ko ibadat ki jagah ( sazdagah) bana liya , agar is (shirk) ka darr na hota to Aap sallallahu alaihi wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati lekin darr iska hai ki kahi inko bhi log ibadat ki jagah na bana le.  Sahih Bukhari, Vol 2, 1390

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS