*🔘TAYAMMUM AUR USKE MASAIL🔘*
*Tayammum:*
"Paani na milne ki surat ya paani ke istemal par nuqsan ke darr hone ki surat me, mitti se paaki hasil karne ko tayammum kahte hain."
Farman e ILAHI hai:
"Ai imaan waalo! jab tum namaaz ke liye utho to apne mu ko aur apne haatho ko kuhniyo samet dhulo, apne sar ka masah karo, aur apne paaon ko takhno samet dhulo aur agar tum janaabat ki haalat mein ho to ghusl karlo, haan agar tum bimaar ho ya safar ki haalat mein ho ya tum mein se koyi haajat e zaruri (answering the call of nature) se faarigh ho kar aaya ho, ya tum aurton se mile ho aur tumhe paani na mile to tum paak mitti se tayammum karlo, use apne chehro aur haatho par mal lo, Allah ta'ala tum par kisi qism ki tangi daalna nahi chaahta, balke uska iraada tumhe paak karne ka aur tumhe apni bharpoor nemat dene ka hai, ta ke tum shukar ada karte raho"
*(Surah Al-Maidah 5 : 6)*
*Tayammum ka tareeqa:*
Wuzu aur ghusl me se jis ke liye tayammum karna chahte hon uski dil me niyat karen.
✔☘ Rasool’Allah sallallaho alaihi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya tamaam aamaal ka daromadar niyaton pe hai."
*(Sahih Bukhari: 01)*
*Tayammum me Chehre aur haathon ka masah karna kaafi hai:*
(Bismillah padhne ke bad) mitti par haath mare aur (phunkne ke bad) chehre aur hatheliyon ka masah kare.
*(Sahih Bukhari: 339)*
*(Sahih Muslim: 368)*
✔☘ Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne Ammar Radiallahu anhu se kaha ke ‘Ulte haath se seedhe haath par aur seedhe haath se ulte haath par masah karo phir dono’n hatho’n se chehre ka masah karo.’
*(Abu Dawud, At Taharah: 321)*
*Mitti par sirf ek baar hi haathon ko marna:*
✔☘ Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshad hai:
"Tayammum ke liye mitti par sirf ek martabah hi haath marna hai."
*(Abu Dawud: 327)*
✒Yaad rahe ke Tayammum ki mitti par do baar haath marna kisi bhi sahi hadees se nahi sabit hai. Isliye sahi tareeqa yehi hai ke ek bar hi haath mara jaye.
*Paani mil jaane par wuzu hi karne me khair hai:*
Jin chizo se wuzu toot jata hai un chizo se tayammum bhi toot jata hai. Isi tarah paani mil jane par tayammum bhi khatam ho jata hai.
✔☘ Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai :
"Paak mitti musalmano ko paak karne wali hai, agarche das saal usey paani na mile (lekin) jab paani mayassar aa jaye to usey apne jism se chuwaaye kyunki khair o bhalai isi me hai."
*(Abu Dawud: 332)*
*Zameen ki upri sateh se tayammum karna:*
Quran Majeed me "Sa'eed" se tayammum karne ka hukm aya hai jiska matlab aksar a'aimma e lughat (yani scholars of dictionary) ke mutabiq zameen ki upari satah ke hai isliye har us chiz se tayammum durust hoga jo zameen ki satah ho.
*(Fiqh ul hadees: 129)*
✒Lekin yaad rahe ke mitti ke maujood na hone ki surat me kyunki mitti ke "Sa'eed" hone pe saare ke saare ulemaa agree hain ke zameen ki upari satah mitti hi hai.
*Diwaar se Tayammum karna jayez hai:*
✔☘ Abu juhaim Radiallahu anhu se rivayat hai :
"Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam be're jamal ki taraf se aaye, Aap se ek admi mila, usne Aap sallallaho alaihi wasallam ko Salam kiya, Aap sallallaho alaihi wasallam ne salam ka jawab nahi diya yaha tak ke ek diwaar ke pas aaye, phir apne chehre aur haath ka masah kiya (tayammum kiya) aur salam ka jawab diya."
*(Sahih Bukhari: 337)*
*(Sahih Muslim: 369)*
*Tayammum se namaz adaa kar lene ke baad pani milna:*
✔☘ Abu Saeed Radiallahu anhu se riwayat hai ke do admiyon ne tayammum kiya aur namaz padhli phir unhe paani mil gaya aur abhi namaz ka waqt baaqi tha, bas unme se ek ne wuzu kiya aur namaz lautaai aur doosre ne namaz na lautaai, phir unhone Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se poocha bas aap ne us shakhs se kaha jis ne namaz nahi lautaai thee ke ‘tum ne sunnat par amal kiya aur tumhari (tayammum wali) namaz tumhare liye kaafi hai aur doosre shakhs se kaha jis ne namaz lautaai thee ke tere liye zyada ajr hai.’
*(Nasai al-Ghusl: 433)*
Allah knows best
🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹
-------------------
No comments:
Post a Comment