find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Badshaguni shirak hai.

*🎾⚾Assalamu Alaikum wa*
*Rahamatullahi wa*
*Barakatahu⚾🎾*
*_______________________________*
*🎾Bismillhirrahmniirahim🎾*

*👉Badshaguni Shirk🔥 hai🎾*

*👉Abdullah bin masood Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne teen (3) baar farmaye badshaguni Shirk hai aur ham mein se har ek ko waham ho hi jata hai lekin Allah Subhanahu usko tawaqqal (sirf Allah par yakeen) se dur farma deta hai🎾*

*👉📚Sunan Abu Dawud, Jild 3,511-Sahih*

*👉Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain ( yani achche bure shagun mein yakeen nahi karte) aur apne RAB par hi bharosa karte hain🎾*

*👉📚Sahih Bukhari, Vol 7, 6472*

*👉Badshaguni yani koi kisi buri baat par yakeen karke us kaam se ruk jaye jaise kaali billi ke raasta kaat jane se kuch bura hoga agar koi aisa sochta hai to wo shirk hai kyunki usko Allah aur uski taqdeer par yakeen nahi🎾*
*________________________________*
*👉Hadith : Allah ke siwa kisi ki bhi qasam khana shirk🔥 hai🎾*

*👉Abdullah ibn umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki RasoolAllah Sallalalahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ke siwa kisi ki ki bhi qasam khana shirk hai🎾*

*👉📚Al-Silsila As-Sahiha, 1073*

*👉Abdullah bin umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi kasam khaye warna khamosh rahe🎾*

*👉📚Sahih Bukhari, Jild 4, 2*
*_______________________________*
Twitter pe follow karen
        Twitter.com/findmrf

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS