Deen Ka Ilm HAsil KArna Har Musalman Par Farz HAi
حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَمَّارٍ، حَدَّثَنَا حَفْصُ بْنُ سُلَيْمَانَ، حَدَّثَنَا كَثِيرُ بْنُ شِنْظِيرٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ سِيرِينَ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: طَلَبُ الْعِلْمِ فَرِيضَةٌ عَلَى كُلِّ مُسْلِمٍ
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: Deen ka ilm haasil karna har musalmaan par farz hai.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا علم دین حاصل کرنا ہر مسلمان پر فرض ہے۔
Prophet Mohammed ﷺ said: Seeking knowledge is a duty upon every Muslim.
wazahat har musalman par deen ke wo masa'il seekhna farz hai jo zaruri hain, maslan aqeeda, namaz, roza, zakat wagera ke masa'il, ya is se muraad ye hai ke kisi musalmaan ko koi masla darpesh ho toh uske liye zaruri hai ke woh kisi ullama se poochhe aur Quran aur sahih hadees ki roshni mein ilm haasil kare, Allah swt ne [Quran 17:36] bina ilm ke koi bhi baat deen ke talluk se kehne ko mana farmaya hai, wahi dusri taraf [Quran 35:28] Allah swt ne farmaya Allah se uss se wahi bande darte hain jo ilm rakhte hain, ek hadees [Tirmidhi:2646] me aya hai ki jis kisi ne deen ka ilm seekhne ke liye safar kiya, ALLAH taala uske liye jannat ka safar asaan kar deta hai.
Sunan ibne majah: jild-1, kitab-us-sunnah 1, hadith no. 224
Grade Hasan
Duniyawi Maqsad Ke Liye Ilm KA HAsil KArna Kaisa HAi?
Grade Hasan
Duniyawi Maqsad Ke Liye Ilm KA HAsil KArna Kaisa HAi?
👌👌👌👌✅✅✅
ReplyDelete