find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jisney kisi Cheej se Khudkushi kar li to usey Jahannum me Usi se Azab Diya Jayega.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆         

*Hadith: Jisne kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega*
---------------------
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabi kareemSallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs khud apna gala ghont kar jaan de dhalta hai, to wo jahannam mein bhi apna gala ghont-ta rahega aur jo kisi barchi ya teer ( yani dhaardar cheez) se apney aapko maar wo dojakh mein bhi apney aapko isi tarah maarta rahega.
{Sahih Bukhari, Vol 2, 1365}

Jundub Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya pichley zamaney mein ek shaksh zakhmi ho gaya tha aur us sey usko badi takleef ho rahi thi aakhir usney churi (knife) se apna haat kaat dala aur khoon bahney laga jis ki wajah se wo mar gaya Allah taala ne farmaya mere bandey ne marney mein jaldi ki isliye mainey bhi jannat ko is par haram kar diya.
{Sahih Bukhari, Vol 4, 3463}

Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6105}
-----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو شخص خود اپنا گلا گھونٹ کر جان دے ڈالتا ہے وہ جہنم میں بھی اپنا گلا گھونٹتا رہے گا اور جو برچھے یا تیر سے اپنے تئیں ( آپ کو ) مارے وہ دوزخ میں بھی اس طرح اپنے ( آپ کو ) تئیں مارتا رہے گا۔
صحیح بخاری جلد ۲ ۱۳۶۵

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”پچھلے زمانے میں ایک شخص ( کے ہاتھ میں ) زخم ہو گیا تھا اور اسے اس سے بڑی تکلیف تھی، آخر اس نے چھری سے اپنا ہاتھ کاٹ لیا اس کا نتیجہ یہ ہوا کہ خون بہنے لگا اور اسی سے وہ مر گیا پھر اللہ تعالیٰ نے فرمایا کہ میرے بندے نے خود میرے پاس آنے میں جلدی کی اس لیے میں نے بھی جنت کو اس پر حرام کر دیا۔“
صحیح بخاری جلد ۴ ۳۴۶۳

رسول الله صلی علیہ وسلم نے فرمایا جس نے کسی چیز سے خودکشی کر لی تو اسے جہنم میں اسی سے عذاب دیا جائے گا
صحیح بخاری جلد ۷ ۶۱۰۵
----------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu The Prophet Peace be upon him said, He who commits suicide by throttling shall keep on throttling himself in the Hell Fire (forever) and he who commits suicide by stabbing himself shall keep on stabbing himself in the Hell-Fire."
{Sahih Bukhari, Book 23, Hadith 446}

Narrated Jundub Radi Allahu Anhu: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Amongst the nations before you there was a man who got a wound, and growing impatient (with its pain), he took a knife and cut his hand with it and the blood did not stop till he died. Allah said, 'My Slave hurried to bring death upon himself so I have forbidden him (to enter) Paradise.'
{Sahih Bukhari, Vol 4, Book 56, No. 669}

Narrated Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, whoever commits suicide with something, will be punished with the same thing in the (Hell) fire
{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 126

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’alaa.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS