Dahej Ka Maal Haram Hai Aur Mehar Biwi Ka Haque Hai?
Dahej Ki Tabaah kariyaan 5
AURAT EK AZEEM NE’MAT hai
Duniya E Kaaynaat Ki Tamaam Cheezein Jo Insaan Ke Istemaal Me Hain Un mese Sabse Aala Nemat Aurat Hai Ye Allah Taala Ki Qudrat Ka Azeem Shahkaar Hai Uske Be’ghair Duniya Ka Wajood Hi Khatam Ho Jaata Hai Insaan Jo Aurat Se Faayeda Aur Lutf Uthaata Hai Us Lutf Par Duniya Ke Tamaam Lutf Qurbaan Kiye Ja Sakte Hain
Aapne Suna Hoga Ke Kai Maaldaar Ek Raat Ke Lutf Ke Liye Tawaif Mangwakar Unse Dance Karate Hain Aur Subah Ko Wo Laakhon Rupiye Lekar Chalti Banti Hai
Isse Bhi Maalum Ho Jaata Hai Ki Aurat Kitni Azeem Cheez Hai ❓
Ke Usko Ek Raat Ki Ujrat Laakhon Rupiye De Di Jaati Hai Agarche Ye Tareeqa Haraam Hai Aur Gunaah Kabeera Hai Aur Shariat Ke Yahan Ye Jahannum Waalon Ka Kaam Hai, Ye Alag Baat Hai Lekin Isse Duniya Walon Ke Yahan Aurat Ki Qeemat Waazeh Hai ‼
Nabi E Kareem ﷺ Ka Farmaan Bhi Auraton Ke Mutaalliq Mulaheza Farmaayen
Poori Duniya Ek Samaan Aur Nafa Ki Cheez Hai Lekin Duniya Ka Sabse Bahtareen Samaan Ek Aurat Hai
Muslim baab Kitab Un Nikah
Allah Ke Nabi Muhammad ﷺ Aurat Ko Duniya Ka Sabse Keemati Samaan Qaraar De Rahen Hain, Aakhir Kya Ho Gaya Hamaari Society Ko K ek Shakhs Itna Umda Maal Kisi Ko Deta Hai Toh Usse Us Ehsaan Ka Inteqaam Yun Liya Jaata Hai Ke Usse Mutaalba Kiya Jaata Hai Ke Gharelu Zarooriyaat Ke Saath Saath, T.V , Freege, Car Wagerah Wagerah Bhi Zaroor Do Warna Tumhari Beti Ki Bhi Hamen Zaroorat Nahin Hai.
Aisi Baatein Allah Ke Azaab Ko Daawat Dene Ke Liye Kaafi Hai
Agar Koi Shakhs Beti Ko Bataur Tohfa Koi Cheez De Deta Hai Toh Wah Jayez Hai Isme Koi Harj Nahin Hai Lekin Ye Baat Yaad Rahe ke Aurat Jo Cheez Apne Maa Baap Ke Yahan Se Le Jaati Hai Aur Haq Mahar Me Usko Jo Kuch Milta Hai Wah Khaalis Aurat Ki Milkiyat Hoti Hai, Usme Se Kisi Ko bhi chahe Shauhar Ko Bhi Beghair Ijaazat Mudakhilat Karne Ki Ijaazat Nahin Hoti Aur Jo Shakhs Beti Ko Dahej Dene Ke Liye Halal Wa Haraam Har Qism Ke Tareeqon Se Maal Jama Karta Hai Wah Ghalat Harqat Hone Ke Saath Saath Fuzool Kharchi Bhi Hai Aur Allah Paak Ne Quraan E Muqaddas Me Farmaaya Hai
“Beshaq Fizool Kharch Log Shaitaan Ke Bhai Hote Hain
Surah Bani Israel
Is Tarah Hadith Me Bhi Fizool Kharchi Ki Muzammat Aayi Hai Lihaaza Jo Shakhs Apne Sasuraal Se Dahej Ka Mutaalba Karta Hai Aur Wah Unko Majboor Karke Maal Haasil Karta Hai Toh Ye Zulm Aur Haraam Hai, Agar Ladki Ke Maa Baap Bheek Maang Kar Bhi Dahej Banaata Hai Tab Bhi Ye Haraam Hai Kyunki Bheek Maangna Ya To Majboor Logon Ka Kaam Hota Hai Ya Fir Gunaahgaaron Ka Kaam Hai Aur Ye Dono Tareeqe Ghalat Hain Allah Taala Ka Irshad Giraami Hai
“Tum Ek Dusre Ka Maal Baatil Tareeqon Se Mat Khao. Surah Baqarah Ayat No 188
Kuch Log Dahej Ko Deen Ka Kaam Samjhte Hain, Halaanke Iska Door Door Tak Deen Se Waasta Bhi Nahin Hai Agar Islam Me Dahej Hota Toh Nabi E Akram ﷺ Zaroor Apni Betion Ko Dahej Dete Aur Aapki Biwiyan Zaroor Dahej Lekar Aati Lekin Koi Bhi Saabit Nahin Kar Sakta Ke Aap ﷺ Ne Kisi Biwi Se Dahej Liya Ho.
Dekhiye Abu Bakr R.a Toh Wah Sahabi Hain Jo Aap ﷺ Ko Agar Jaan Ki Zaroorat Padi Toh Jaan Haazir Kar Di Agar Maal Ki Zaroorat Padi Toh Ghar Ka Saara Maal Aap Sallalahio Alaihi Wasallam Ke Qadamon Me Rakh Diya Iski Tarah Unki Beshumaar Qurbaaniyan Hain.
Lekin Jab Aap ﷺ Ko Apni Beti Hazrat E Aisha Nikah Me De Di Toh Ammi Aisha r.a Apne Saath Kuch Bhi Nahin Lekar Aayin, Isi Tarah Dusre Sahaba Kiraam Se Bhi Sabot Nahin Milta Ke Unhone Apni Biwi Se Dahej Liya Ho Ya Apni Beti Ko Dahej Diya Ho, Lihaaza Maalum Hua Ke Dahej Jaahilaana Aur Kaafiraana Rasm Hai Iska Islaam Se Koi Taalluq Nahin Hai Isliye Isse Bachna Bahut Zaroori Hai.
To Be Continued...............
Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen,
- Bachon Ki Achi Tarbiyat Kaise KAre?
- Hmare Husn-E-Suluk Pe Sabse Jyada Kiska Haque HAi?
- Maa-Baap, Saas Sasur Ka Haque Kya HAi?
- Shauahr Ke Huqooq Kya HAi?
- biwi Ke nafil Roze Rakhne Se Pahle Shauhar se Ejajat Lena.
- Biwi ke Gharwalo Se KAisa Suluk Kiya Jaye?
- Nek Biwi Ghar Ki Khusiyo Ki wajah Hoti Hai?
- islam Me Auraton ne KAun KAun Se Karname Anjaam Diye HAI?
- Biwi Ke Huqooq Kya Hai? wives Right In Islam (Part 03)
- Kya Maa-Baap Ke Kahne Pe Biwi Ko Talaq De Sakte Hai?
- Aap Ki Biwi Aap ki Jannat.
- Dahej Ki Tabaah Kari (Part 01)
- Jahaiz Ki Tabah Kariyaan. (Part 02)
- Jahaiz Ki tabaah Kariyaan. (Part 03)
- Jahaiz Ki Tabaah Kariyan. (Part 04)
No comments:
Post a Comment