find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Qarz Len Den wa Tijarat Ke Ahkam

📮 *Qur'an ki sabse Lambi Ayat : Qarz, len-den Wa Tijarat ke Ahkam:*

🌷

يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِذَا تَدَايَنتُم بِدَيْنٍ إِلَىٰٓ أَجَلٍۢ مُّسَمًّۭى فَٱكْتُبُوهُ ۚ وَلْيَكْتُب بَّيْنَكُمْ كَاتِبٌۢ بِٱلْعَدْلِ ۚ وَلَا يَأْبَ كَاتِبٌ أَن يَكْتُبَ كَمَا عَلَّمَهُ ٱللَّهُ ۚ فَلْيَكْتُبْ وَلْيُمْلِلِ ٱلَّذِى عَلَيْهِ ٱلْحَقُّ وَلْيَتَّقِ ٱللَّهَ رَبَّهُۥ وَلَا يَبْخَسْ مِنْهُ شَيْـًۭٔا ۚ فَإِن كَانَ ٱلَّذِى عَلَيْهِ ٱلْحَقُّ سَفِيهًا أَوْ ضَعِيفًا أَوْ لَا يَسْتَطِيعُ أَن يُمِلَّ هُوَ فَلْيُمْلِلْ وَلِيُّهُۥ بِٱلْعَدْلِ ۚ وَٱسْتَشْهِدُوا۟ شَهِيدَيْنِ مِن رِّجَالِكُمْ ۖ فَإِن لَّمْ يَكُونَا رَجُلَيْنِ فَرَجُلٌۭ وَٱمْرَأَتَانِ مِمَّن تَرْضَوْنَ مِنَ ٱلشُّهَدَآءِ أَن تَضِلَّ إِحْدَىٰهُمَا فَتُذَكِّرَ إِحْدَىٰهُمَا ٱلْأُخْرَىٰ ۚ وَلَا يَأْبَ ٱلشُّهَدَآءُ إِذَا مَا دُعُوا۟ ۚ وَلَا تَسْـَٔمُوٓا۟ أَن تَكْتُبُوهُ صَغِيرًا أَوْ كَبِيرًا إِلَىٰٓ أَجَلِهِۦ ۚ ذَٰلِكُمْ أَقْسَطُ عِندَ ٱللَّهِ وَأَقْوَمُ لِلشَّهَٰدَةِ وَأَدْنَىٰٓ أَلَّا تَرْتَابُوٓا۟ ۖ إِلَّآ أَن تَكُونَ تِجَٰرَةً حَاضِرَةًۭ تُدِيرُونَهَا بَيْنَكُمْ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَلَّا تَكْتُبُوهَا ۗ وَأَشْهِدُوٓا۟ إِذَا تَبَايَعْتُمْ ۚ وَلَا يُضَآرَّ كَاتِبٌۭ وَلَا شَهِيدٌۭ ۚ وَإِن تَفْعَلُوا۟ فَإِنَّهُۥ فُسُوقٌۢ بِكُمْ ۗ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ۖ وَيُعَلِّمُكُمُ ٱللَّهُ ۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَىْءٍ عَلِيمٌۭ

*"Aye Imaan waalo jab tum aapas me ek dusre se miyaad muqarrar (definite time period) par Qarz ka maamla karo to use likh liya karo aur likhne waale ko chaahiye ke tumhaara aapas ka maamla adl (insaf) se likhe, kaatib (likhne wale) ko chaahiye ke likhne se inkaar na kare jaise Allah Ta'ala ne use sikhaaya hai pas use bhi likh dena chaahiye aur jiske zimme Haq ho wo likhwaaye aur apne Allah Ta'ala se dare jo Uska Rab hai aur Haq me se kuch ghataaye nahi, haan jis shakhs ke zimme Haq hai wo agar nadaan ho ya kamzoor ho ya likhwaane ki taaqat na rakhta ho  to uska wali adl ke saath likhwaade aur apne me se 2 mard gawaah rakhlo, agar 2 mard na ho to 1 mard aur 2 aurte jinhe tum gawaaho me se pasand karlo, take ek aurat ki bhool chook ko dusri yaad dilaade aur gawaaho ko chahiye ke wo jab bulaaye jaaye to inkaar na kare aur Qarz ko jiski muddat muqarrar hai chahe chhota ho ya bada ho likhne me kaaheli (susti) na karo, Allah Ta'ala ke nazdeek ye baat bahut Insaaf waali hai aur gawaahi ko bhi durust rakhne waali aur shak wa shuba se bhi zyaada bachaane wali hai, haan ye aur baat hai ke wo maamla Naqd tijaarath ki shakal me ho jo aapas me tum len den kar rahe ho to tum par us ke na-likhne me koyi gunaah nahi, khareed wa furuqt ke waqt bhi gawaah muqarrar kar liya karo aur (yaad rakho ke) na to likhne waale ko nuqsaan pahuchaaya jaaye na gawaah ko aur agar tum ye karo to ye tumhaari khuli nafarmaani hai, Allah Ta'ala se daro, Allah Ta'ala tumhe taleem de raha hai aur Allah Ta'ala har cheez ko khoob jaanne waala hai".*

📕(Surah 02 Baqrah : Ayat 282)

◻   ◻   ◻  ◻  ◻   ◻
            🌷......✒......🌷
                *Aaj ki Ayat*
                         by
Akhi _Abu Inayah,

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS