Kya mushtzani (masturbation) karne waale ka haath qayamat ke din haamla hoga?
Is mein koi shak-o-shuba nahi ke mushtzani ek haraam fe’l (kaam) hai. Balki yeh ek kabeerah gunaah hai. *Lekin “Mushtzani karne waala haath qayamat ke din haamla hoga” is tarah ki koi sahih riwayat nahi milti hai.* Is tarah ki jitni riwayaat milti hain sab Za’eef hain. Jo riwayaat zikr ki jaati hain un ki tafseel aage pesh ki jaa rahi hai:
*Pehli riwayat:*
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ قَالَ: يَجِيءُ النَّاكِحُ يَدَهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَيَدُهُ حُبْلَى
*Tarjumah:* Anas bin Malik Radhiallahu Ta’ala Anhu farmaate hain ki qayamat ke din mushtzani karne waala is haal mein aayega ke us ka haath haamla hoga.
*{At-Tareekh-ul-Kabeer Lil-Bukhari}*
*Riwayat ka hukm:*
Is ki sanad Za’eef hai. Kiunki is mein do illatein hain:
*➊ Maslamah bin Ja’far:*
➠ Ibn-e-Abi Hatim Rahimahullah ne is ka tarjamah zikr kiya hai lekin iske mutalliq koi kalima-e-tauseeq ya taz’eef nahi zikr kiya hai, lehaza yeh “Majhool-ul-Haal” hai.
*{Al-Jarh Wat-Ta’deel: 8/267, Raqm-ut-Tarjamah: 1219}*
➠ Zahbi Rahimahullah ne bhi is ko “Majhool” kaha hai. Jabki Azdi Rahimahullah ne is ko “Za’eef” qaraar diya hai.
*{Lisaan-ul-Meezan: 8/57, Raqm-ut-Tarjamah: 7727}*
*➋ Hassan bin Humaid:*
Yeh rawi “Majhool” hai. Zahbi Rahimahullah ne is ko “Majhool” qaraar diya hai.
*{Lisaan-ul-Meezan: 8/57, Raqm-ut-Tarjamah: 7727}*
*Doosri riwayat:*
عن أنس، قال: الناكح نفسه؛ يأتي يوم القيامة ويده حبلى
*Tarjumah:* Anas bin Malik Radhiallahu Ta’ala Anhu farmaate hain ki Qiyamat ke din mushtzani karne waala is haal mein aayega ke us ka haath haamla hoga.
*{Zamm-ul-Liwaat Lid-Doori: 73}*
*Riwayat ka hukm:*
Is ki sanad bhi Za’eef hai. Aur is mein bhi do illatein hain:
*① Maslamah bin Ja’far:*
Is rawi ke mutalliq upar wazahat guzar chuki hai.
*② Saleh Al-Abbar:*
Iska tarjamah nahi mil saka.
*Khulaasa-e-kalaam* yeh hai ke is tarah ki koi baat na kisi Sahih Marfoo’ riwayat se saabit hai aur na hi mauqoof. Albattah yeh yaad rahe ke mushtzani ek haraam fe’l hai. Lehaza is se bachna zaroori hai. Mazeed yeh bhi yaad rahe ke iske kayi medical nuqsanaat bhi hain.
Wallahu A’lam-o-Bis-Sawab.
No comments:
Post a Comment