👉🏻 *Topic : - Islam ka Buniyaadi Usool kya Hona Chahiye* ❓
⭕Aaiye Dekhte hain QURAN AUR SAHIH HADITH ki Roshni mein kya ...
1⃣💐 Deen e Islaam me Rasulullah Sallaho Alaihe Wasallam ki ita'at usi tarah farz hai jis tarah Allah ki itaa't farz hai. Muhammad Sallallaho Alaihe Wasallam ki baat sahih sanad ke saath aajane ke baad koi shakhs is ruye zameen par kisi Sahabi, kisi salaf, kisi Imam, kisi muhaddis, kisi aalim, kisi buzurgh, kisi peer, kisi faqeer ki baat ko tarjeeh deta hai to aisa shakhs kaafir hai.🌵
📖Irshad e baari e taa'la hai.
*🌿Aye Eemaan walon Allah ki itaa't karo aur Rasool ki itaa't karo ( kisi dusrey ki ita'at karke) apne aamaal ko barbaad na karo. Jin logon ne kufr kiya aur Allah ki raah se dusron ko roka phir kufr ki haalat me hi mar gaye (yaqeenan) ALLAH unhe hargiz nahi bakhshega.*
📚(Surah Muhammad-33-34)
2⃣💐 Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihe Wasallam ki baat sahih sanad ke saath aa jaane ke baad hum kisi ki baat ko deen maanne ke liye taiyyar (raazi) nahi hain, Allah wahdahu laa shareek ki kasam hai saari kayenaat ke musalman ikatthe ho jayein sab ki baat milkar bhi Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihe Wasallam ke deen ka hissa nahi ban sakti.
📚 Irshad e baari e taa'la hai.
🌿 *"Maine tumhare liye tumhara deen mukammal kardiya aur tumpar apni nemat puri kardi........ ."*
📕(Surah Maeda 3)
3⃣💐Jo shaksh mushrikon ko kaafir na Samjhe ya unke kufr me shak kare ya unke deen (Mazhab) ko sahih maane to woh bhi kaafir hai.
👉🏻 Irshad e baari taa'la hai.
*🌿Allah par aur qayamat ke din par eemaan rakhne walon ko Aap Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihe Wasallam ki mukhalfat karne walon se muhabbat rakhte huye hargiz na payenge, chahe woh unke baap unke bete ya unke bhai ya unke kumbe (qabile) ke aziz hi kyun na ho yahi woh log hain jinke dilon me Allah ne eemaan ko likh diya hai.......*
📚(Surah Mujadla -22)
4⃣💐 *Jo log eemaan laye aur unhone apne eemaan ke saath zulm (shirk) ke saath nahi milaya aise hi logon ke liye aman hai aur wahi hidayat par hain.*
📚 (Surah Ana'am- 82)
5⃣ 🌵 *Mushrik agar Lailaha illallah muhammadur Rasulullaah (Sallaho Alaihe Wasallam) parhne wala bhi ho to woh bhi kabhi bhi kisi bhi haalat me kisi bhi qeemat par jannat me nahi jayega*.🌵
📕Irshad e baari taa'la hai.
💐 *Aksar log Allah par Eemaan Laane ke bawajood bhi mushrik hi hain.*
📚 (Surah Yusuf - 106)
🎄 *Beshak Allah shirk ko nahi bakshega aur Uske elawa jis gunah ko jiske liye chahega baksh dega aur jo shakhs Allah ke saath shirk karta hai woh bahut bara gunah karta hai.*
📚(Surah Nisa - 48, 116)
💐Jisne Allah ke saath shirk kiya Allah ne uspar Jannat ko haram kar diya hai uska thikana jahannam hai aur zaalimon ke liye koi madadgar na hoga.💐
📚 (Surah Maeda - 72)
6⃣💐 *Shirk karne wala chahe koi ho Baadshah (hukmaran) ho, Ulma ya Imam ho, use mushrik samjha jayega uski zaat uski Shakshiyat aur Uske Martabe ko tarjeeh aur ahmiyat nahi di jayegi,* Kyun ke surah Ana'am ki aayat no.88 me Allah ne 18 jalilul qadr Ambiya ki muqaddas jamaat ka naam lekar shirk ki qabahat (kharabi) beyaan karte huye farmaya-
*"Agar kahin in logo ne shirk kiya hota to unke bhi sab nek aamaal zaya ho jate."* Aur Allah ne yahin bas nahin kiya balke Apne qanoon ki intehayi baladasti beyaan karte huye apne mehboob paighambar saiyadul mursaleen hazrat Muhammad Sallallaho Alaihe Wasallam ko mukhatib karke bare faisla kun aur do tok andaaz me ye baat irshad farma di ke-
"Shirk ka irtakab agar aapne bhi kiya to Aap ke bhi saare nek aamaal zaaye kar diye jayeinge."💐
💐Irshad baari e taa'la hai 👇
*Aiye Nabi Aap ki taraf aur Aap se pehle guzre huye tamam Ambiya ki taraf ye wahi bheji ja chuki hai k agar Aap ne shirk kiya to Aap Ka kiya karaya amal zaaya ho jayega aur Aap khasara pane walon me se ho jayege.*
📚 (Surah Zumar - 65)
🎄Iski wajah ye hai k Allah ki nazar me shirk sabse bara zulm hai.
*"Shirk yaqeenan sabse bara zulm hai."*
📚(Surah Luqman - 12)
🌿 *Aye Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Aap logon ko apne Rab ke raaste ki taraf hikmat aur umda nasihat ke saath daawat dijye aur unse bahas kijye us tareeqe par jo behtareen ho yaqeenan aapka Rab unko khub Jaanta hai jo Allah ki raah se gumraah ho gaye aur woh hidayat ki raah par chalne walon ko bhi khub Jaanta hai*.
📖 Surah Nahal -125
🌵Shirk kisi bhi haalat me maaf nahi hai chahe yeh La ilmi me kiya jaaye ya jaan bachane ke khauf se kiya jaye kyunki-
"Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam ne hazrat e maaz razi Allaho anhu ko 10 nasihatein farmayi jisme sabse pehli nasihat yeh thi ke 'Allah ke saath kisi ko shareek na karna' chahe tumhe qatl kar diya jaye ya jala diya jaye." 🌵
📕(Musnad Ahmad.5/238)
💐Allah taala hum sab ko deen ki sahih samajh ata farmaye aur duniya wa aakhirat ko behtar bana de.💐
➡ AAMEEN ⬅
Note :- 👇
🎯. Agar Aap hamari Quran o sunnat par mabni in usuloon se ittefak rakhte hain to hame zaroor aagaah karein.🎯
No comments:
Post a Comment