find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jo Log kafir Hai Unke Maal Aur Unke Aulad Allah ke Muqabale Me Hargij Kam Nahi Aayega.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆     

Al Quran : Beshak jo log kafir hain unke maal aur unki aulad ALLAH ke muqable mein hargiz kaam nahi aayenge aur wo dozakh ka indhan hain, jis tarah firaun walo aur unse pahle ke logon ka haal hua unhone hamari nishaniyon ko jhutlaya phir ALLAH ne unke gunahon ke sabab se unki giraft farmayee aur ALLAH sakht azab dene wala hai
Kafiron se kah do ki tum anqareeb maghlub ho jaoge aur Dozakh ki taraf haanke jaoge aur wo buri jagah hai
Al Quran , Surah Aal-e-Imran (3) , 10-12
.
Al Quran : Jo Gunaahgar ( kaafir) hain wo ( Duniya mein) Momeeno se hansee kiya karte they, Aur jab unke pass se Guzartey to haqarat se ishaarey karte Aur jab apney ghar ko jaatey to itratey huye jaatey , aur jab in ( momeeno) ko dekhtey to kahtey ki ye to gumraah hain, haalanki wo un par nigraah (watchers )bana kar nahi bhejey gaye hain, To Aaj momeen kaafiron se hansee karengey (aur) takhton par ( baithey huye) unka haaal dekh rahey honge , to kaafiron ko unke kaamo ka badla mil gaya.
Al Quran , Surah Al-Mutaffifin 83, Verse 29-36
.
Hadith: Abu hurairah radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Duniya momeen ke liye Qaidkhana (jail) hai aur kaafir ke liye Jannat hai
Sahih Muslim, Vol 6 , 7417

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS