📮 *Hadees e Rasool kise kaha jata hai?*
📘 25-07-1439H/11-04-2018
🌷BismillahirRahmanNirRaheem🌷
💠Jis ...
*1. Qaul (Amr/hukm/baat)*
*2. Amal*
aur
*3. Taqreer*
ki *NISBAT* Muhammadur Raaoolullah (SallallahuA'layhiWaSallam) ki wor ki jaaye use HADEES E RASOOL ya SUNNAT E RASOOL kaha jata hai.
ℹMaslan,
1.Koi kahe ke Rasoolullah (SallallahuA'layhiWaSallam) ne *fala hukm diya ya fala baat kahi.*
2.Koi kahe ke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne *fala kaam ya fala amal kiya.*
3. Koi kahe ke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ke *samne kisi Sahabi ne fala kaam kiya tha ya fala baat kahi thi lekin Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) uspar khamush rahe.* Agar sahabi ka amal galat hota to Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) unhe zarur mana karte.
◼Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) ke is *khamushi* ko *TAQREER* kaha hai hai.
ℹAgar Nabi ki wor ki jaane wali NISBAT sahih SANAD se sabit hogaye to aise Hadees ko SAHIH YA HASAN HADEES kaha jata hai.
◼Sahih aur Hasan darje ki Hadees par amal kiya jayega aur aise Hadees ko daleel ke liye pesh bhi kiya jayega.
ℹAgar Nabi ki wor ki jaane wali NISBAT sabit nahi ho paye to aise Hadees ko ZAEEF YA MAWZU HADEES kaha jata hai.
◼Zaeef aur Mawzu darje ki Hadees par Na hi amal kiya jayega aur na hi aisi Hadees daleel ke liye pesh ki jayegi.
🥀 *_Allahu Aalam Bis-Sawab._*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
🌸 *Composed by :* 🌸
🌈 *SIRF -*
*_Salsabiil Islamic Research Foundation._*
💚 *May Allah accept our small efforts and May Allah keep us away from RIYA and Guide us towards Path of Hidayah.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
No comments:
Post a Comment