find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Emaan ke Hissey.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆                 
Emaan Ki 60 Se 70 Hissey (Baab) Hain ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Emaan Ki 60 Se Kuch Upar Ya 70 Hissey (Baab) Hain,
Jismein Sabse Kum, ‘Takleef Dene Wali Cheez Ko Raastey Se Hata Dena Hai’
Aur Sabse Ziyada ‘La Ilaha Illallah’ Kehna Hai Aur Hayaa Bhi Emaan Ka Hissa Hai”.
– Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 57 (Sahih)

Bimaari Aur Uska Elaaj …

♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Sahaba (RaziAllahu Anhu) Se Farmaya –
“Kya Mai Tumko Tumhari Bimaari Aur Uska Elaaj Na Batau ?
Tou Sunlo, Tumhari Beemaari ‘Gunaah’ Hai
Aur Uska Elaaj Astaghfar (Allah Se Magfirat talab karna) Hai…”
– (Baihaqi Sharif)

Nijaat Kya Hai ?

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pucha Gaya Nijaat Kya Hai ?
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Apni Zubaan Qaabu Me Rakho,
Aur Apne Gunaaho Par Roya Karo Isi Me Nijaat Hai…”
– (Tirmizi Sharif, Jild:4)

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala*..

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS