Hazrat Luqman Ki Kuch Behtreen Nasihaten.
_(Surah Luqman ch:31, Ayaat: 13-19)_
31.13 Aur jab kay luqman ney waaz kehtay huyey apnay larkay say farmaya kay
meray Pyare bachay! *Allah kay sath shareek na kerna be-shak shirk bara bhaari zulm hai.
meray Pyare bachay! *Allah kay sath shareek na kerna be-shak shirk bara bhaari zulm hai.
31.14 Hum ney insan ko uss kay maa baap kay mutalliq naseehat ki hai uss ki
maa ney dukh per dukh utha ker ussay hamal mein rakha aur uss ki doodh churaee do baras mein hai kay *tu meri aur apnay maa baap ki shukar guzari ker*
(tum sab ko) meri hi taraf lot ker aana hai.
maa ney dukh per dukh utha ker ussay hamal mein rakha aur uss ki doodh churaee do baras mein hai kay *tu meri aur apnay maa baap ki shukar guzari ker*
(tum sab ko) meri hi taraf lot ker aana hai.
31.15 *Aur agar woh dono tujh per iss baat ka dabao daalen kay tu meray sath shareek keray jiss ka tujhay ilm na ho to tu unn ka kehna na manna* haan duniya mein unn kay sath achi tarah basar kerna aur *uss ki raah chalna jo meri taraf jhuka hua ho* tumhara sab ka lotna meri hi taraf hai tum jo kuch kertay ho iss say phir mein tumhen khabardaar ker doon ga.
31.16 Piayaray betay *agar koi cheez raaee kay danay kay barabar ho phir woh (bhi) khua kissi chattaan mein ho ya aasmano mein ho ya zamin mein ho ussay Allah Taalaa zaroor laye ga
Allah Taalaa boht bareek been aur khabrdaar hai.
Allah Taalaa boht bareek been aur khabrdaar hai.
31.17 Aey meray piyaray betay! *Tu namaz qaeem rakhna achay kaamo ki naseehat kertay rehna buray kamon say mana kiya kerna aur jo museebat tum per aajaye sabar kerna* (yaqeen maan) kay yeh baray takeedi kaamo mein say hai.
31.18 *Logon kay samney apnay gaal na phula aur zamin per itra ker na chal.
*Kissi takabbur kerney walay shekhi khoray ko Allah Taalaa pasand nahi farmata.
*Kissi takabbur kerney walay shekhi khoray ko Allah Taalaa pasand nahi farmata.
31.19 *Apni raftar mein miyana rawi ikhtiyar ker aur apni awaz past ker yaqeenan awazon mein sab say badtar awaz gadhon ki awaz hai
No comments:
Post a Comment