find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Maa Baap Ki FArmBardari Karna Kitna Ahem HAi?

Maa Baap Ki Itaat KArna Aur Unka Hukm Manna Kitna Ahem Hai Islam Hai?

Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullulah  Sallahu Alaihe WaSallam
ne irshaad farmaaya: Agar logon ko azaan aur pehli saff ka Sawaab malum ho jaata aur unhein Azaan aur pehli saff qura andaazi ke bagair hasil na hoti to woh zaroor qura andaazi karte. (Bukhari: 615)
Sahi Hadees /
Hamesha sach bolo, is liye ke sachchaai neki ka raasta dikhaati hai aur neki Jannat mein le jaati hai.
(Muslim: 6805)
❧ Yaani jo shakhs maan baap ki khidmat karega, un ka kehna maanega, un ko raazi rakhega aur un ki izzat karega, to use Jannat milegi aur jo shakhs un ko takleef pahonchaaega, un ko naaraaz karega, un ka dil dukhaaega aur un ka kehna nahin maanega, to Allah Ta'ala use dozakh mein daal dega.
❧ Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jo farmaanbardaar aulaad apne maan baap ko muhabbat ki nazar se dekhe, to use har nigaah par ek maqbool haj ka sawaab milega. Logon ko bada taajjub huwa, unhon ne poochha: Agar woh din mein sau martaba dekhe (to har martaba maqbool haj ka sawaab milega?). Aap ﷺ ne farmaaya: Haan! (Har martaba us ko maqbool haj ka sawaab milega).
 [Shoabul Imaan: 7856]
❧ Is liye hamein chaahiye ke ham apne maan baap se muhabbat karein, un ki izzat karein, hamesha un ko aaraam pahonchaaein, kabhi bhi un ko zarra baraabar takleef na pahonchne dein, har haal mein un se narmi aur adab se baat karein aur hamesha un ke liye dua karte rahein. Agar ham un ko raazi rakheinge to Allah Ta'ala bhi ham se raazi raheinge aur agar ham un ko naaraaz kar deinge, to Allah Ta'ala bhi ham se naaraaz ho jaaeinge.
   *✍ Ref:* Deeniyat Course book
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS