🛑 *Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part 1.*🛑
*Aur ALLĀH Ta’ala ka haq hai insaan par ke Baitullāh ka Hajj kare jo waha pahunchne ki haisiyat rakhta ho.*
📖
Al Quran Surah Aale Imraan, Aayat 97
*1⃣-Haj ke maani:*
✅ Haj ke lafzi maani hai iraada karna Haj ke istelaahi maani hai makhsoos afaal ki adyegi ke liye Masjid Haram ki taraf (safar) ka irada karna Haj keh lata hai.
*2⃣-Umrah ke maani:*
✅Umrah ke lafzi maani hai irada karna ya ziyarath karna Umrah ke istelaahi maani hai miqaath se ehraam baandh kar tawaaf baitullah aur safa marwa ki sayi karna aur baal mundwana ya katarwana umrah hai.
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne umrah apni zindegi me 4 marta ada farmaya hai aur Hajj sirf 1 martaba jo apka pahle bhi taha aur akhri bhi uska naam hajjatul wida hai. Is talluq se (aboo dawoo aur musnad ahmad ne riwayat nakal ki hai).
*“Umrah gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor ka badhla Jannat hai.”*
♻Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai ye mutafukane hadees hai jo bukhair aur muslim me moujud hai ki pahla umrah dusre umrah tak ke tamam chote gunaho ka kaffara hai.
TO BE CONTINUED INSHA ALLAH....
┅┅┅━━═۞═━━┅┅┅
Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa.
♦♦♦♦♦♦♦
No comments:
Post a Comment