*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*Badal ka garajna kya hai*
Hadees:-
Ibn Abbas رضي الله عنه se Rivayat hai woh kehte hai:- Yahoodi Rasulallah ﷺ ke pass aur sawal kara :-
*Btao hume yeh badal ka garazna(رعد/thunder) yeh kya hai ?*
Rasulallah ﷺ ne farmaya :-
*Yeh farishto me se ek farishta hai jise Allah ne muqarrar kiya hai jo badlo ko ek jagah se dusre jagah lejata hai jiske hath me mikhraq(1) hoti jisse woh badal ko ek jagah se dusri jagah lejata hai jaha Allah usse hukm deta hai*
fir yahoodi ne sawal kara yeh awaaz kis chij ki hoti hai ?
Rasulallah ﷺ ne farmaya :- *yeh farishte ki awaaz hai badal ko daat padhti hai jab tk jaha pohcne ka hukm diya jaye wha na pohuche to farishte ki daat padhti hai*
*Ref:-* silsila ahdees saheeha 4/491 Tirmizi :- 3117 , Musnad Ahmed
Note:- (1) Ibn Atheer رحمه اللهfarmate hai :-
*Mikhraq ek hathiyar(tool) hai jisse farishte baadlo ko chalate hai aur idhar se udhar lejate hai*
*Ref:-* Al-bidaya wa-nihaya 2/26
No comments:
Post a Comment