Kya Aap tauheed samajh chuke hai.
Tauheed kya hai aur iski kitni qismen hai?
Mandir aur Mazar par Urdu nazam.
Eid Miladunnabi ka aagaz kab se hua?
Jab Qadri Sahab ko Unki Begum ne Tauheed ke bare me batayi.
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu
_______________
Ek choti si misal se main aap logo ko ek bahod badi baat samjhana chahta hun ummed hai ki aap meri baat ko samjhenge in shaa Allah_*
_______________
Ek Qadri sahab Ghar ko Aye Aur Apni begum ko gussa karne lage.
Qadri Sahab: Begum Tum ko aqal nahi hai ye tumne kya kar diya ??
Begum: maine aisa kya kiya ??
Qadri sahab: mere Dost ke ghar jakar tumne unse kaha hai ki tum ko kuch paise chahiye aur kaha ki mere shoher se bolkar mujhe kuch paise dilwa do.
Begum: Haan to isme kya bura hai wo shekh sahab to aap ke acche dost hai na aap unki baat sunte hai is liye unse kaha mujhe kuch paise chahiye aap mere shoher se kehkar dilaye.
Qadri sahab: are pagal Nadaan Aurat kya main tum ko har cheez nahi deta kya main tumhari har khwahish poori nahi karta ?? Phir mere dost se sifarish karwane ki kya zarurat thi ??
Begum: Haan ji aap meri har khwahish bina bole hi poori karte hai magar aap ke dost ko bol diya to kya bura kiya ??
Qadri sahab pareshan
Begum boli ek baat bolu aap se
Qadri sahan bole haan bolo
Begum boli Allah subhanahu Wata'ala Quran me baar baar bol raha hai Aye mere bando main tumhari dua sunta hun qubul karta hun mujhse mango main dene wala hun lekin aap to Babaon ke mazarath par jakar waseele se dua karte rehte hai aaj maine aap ke ek dost se kya keh diya aap to bura man gaye.
Qadri sahab ko to samajh me agaya aur aap ko ???
"
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
Kya tujhe nahi maloom ke zameen-o-aasman ka mulk Allah hi ke liye hai aur Allah ke siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi.
Al Quran Surah Baqrah 2.Aayat 107,*
*_ Aur tumhare rab ka farman "sirzad ho chuka" hai ke mujhse dua karo main tumhari duaon ko qabool karunga.
Yaqeen mano ke jo log meri ibadat se khudsari karte hain wo abhi abhi zaleel hokar jahannum me pahonch jayenge.
Al Quran Surah momin 40.Aayat 60,
Hum sirf teri hi ibadat karte hain aur sirf tujh hi se madad chahate hain.
Al Quran Surah Fatiha 1.Aayat 4,
_______________
______________
No comments:
Post a Comment