find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Quran-o-Hadees Padhane ke badale Paisa le sakte hai?

Quran-o-Hadees Padhane ke badale Paise lena?
Qur'an /Hadees padhane ka paisa Lena kaisa hai?*
-------------------------------------------
*Jayez hai*✓✓✓✓✓
------------------------------
Hadees:- kuch sahaba (R) Aik pani ke pas se guzre jiske pas ke Qabeele me bichchu ka kaata hua aik shakhsh tha, Qabeele ka aik shakhsh un ke pas aya aur kaha kya aap logon me koi dam , jhad karne wala hai.? Hmare qabeele me aik shakhsh ko bichhu ne kaat liya hai chunanche sahaba (r) ki is *jamat mese aik sahabi us shakhsh ke sath gye aur chand bakriyon (Goats) ki shart ke sath us shakhsh par "surah fatiha" padhi , isse wo achcha ho gya wo sahaba (r) shart ke mutabiq bakriyan apne sathiyon ke pas laye to unhone use qubool kar lena pasand nhi kiya aur kaha ke allah ki kitab par tumne ujrat leli. Aakhir jab sab log madina aye to arz kiya ke ya Rasoolullah  ﷺ sahab ne allah ki kitab par ujrat leli hai. "Rasool Allah" (ﷺ) ne farmaya ke jin cheezon par tum ujrat le sakte ho un me se zyada us ki mustahiq "Allah ki kitab" hi hai.*
📚 (Sahih Bukhari :5737)

Es hadees ke Mutabik Ulema ki ye Ray hai ki Koi Agar Qur'an/Hadees padhaye to paise le Sakta hai.
*(हर बात दलील के साथ)*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS