find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Qurbani ka Janwar Zibah karne ka Sunnat tarika aur dua

Qurbani ka janwar zabah karne ka Sunnat tariqa or Dua.


 Qurbani ka janwar *khud se zabah karna sunnat hai*
(Muwatta h# 145, Nasaai h# 4424)


Qurbani ke janwar ko *qibla rukh kar ke zabah karna mustahab (Optinal) hai.*
 (Abu Dawud, Hadis-2795)

 *Gaaye, (Cow) bhed, bakri aur dumba zabah karne ka tareeqa yeh hai ke janwar ko baayen (left) pehlu ke bal lita kar uski gardan par ek paaon rakh kar baayen haath se uska sir pakar kar daayen haath se zibah karte huye ye padha jaye* 

 “بسم اللہ اللہ اکبر” ke baad “
اللهم هذا منك ولك” aur “اللهم تقبل مني”
Kahe or fir Nam kahe
Misaal:- ke taur par agar uska naam "Aamir" hai to yeh kahe
“بسم اللہ اللہ اکبر. اللهم هذا منك ولك اللهم  تقبل من "عامر”.
(Tafseel ke liye dekhye: Sahih Muslim: 1967, Irwa ul Ghaleel: 1138, 1152)
 (Sahih Bukhari: 5558 Sahih Muslim: 1966 )

*Ye Dua bhi padhna Mustahab hai.*
----------------------------------
Baaz ahl e ilm ne qurbani ka janwar zabah karte waqt is dua ke padhney ko bhi mustahab qarar diya hai:

“إني وجهت وجهي للذي فطر السماوات والأرض على ملة إبراهيم حنيفا وما أنا من المشركين، إن صلاتي ونسكي ومحياي ومماتي لله رب العالمين لا شريك له وبذلك أمرت وأنا  أول المسلمين”
 اللهم منك ولك "नाम"
 باسم الله والله أكبر.
 (Musnad Ahmed : 15022)
(Abu Dawud: 2795)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS