find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Qurbani ke Kaisa Janwar hona chahiye?

Waise Janwar jiski Qurbani Jayez nahi.


BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM
------------------------------------------
Qurbani ke liye Janwar kaisa ho?
------------------------------------------
*2 Daant (teeth) Wala Janwar hona Lazmi hai* Sirf *Saal poora hona Kafi nhi.


-----------------------------------------
 Qurbani ka  *janwar "Musinnah" (2 daant wala) ho, Agar aisa janwar na mil paye to bhed ka "juza" kar lena chaiye.*
 *Musinnah se muraad woh janwar hai jiske doodh wale agle "2 daant" gir jayen aur uski jagah dusre daant aane shuru ho jayen.*
bhed ka "juza" (dumba, chhatra waghera) ka 2 daanta hona zaruri  nahi. lekin ahle lughat aur shareheen hadis ne sarahat ki hai ki "juza" (yani dumba, chhatra waghera) ek saal ka ho isse kam umr ke dumbe ko juza nahi kaha ja sakta.

(Sahih Muslim:- 5082 islam360).

Qurbani ke woh janwar jo jaiz nahi hai:❌
-----------------------------
1- kaana (bhenga) janwar jiska kaana pan wazeh ho.
2-bimaar, jiski bimari wazeh ho.
3-langda, jiska langda pan (lame) wazeh ho.
4- aur nihaayat dubla patla jiske andar haddi ke alawa kuchh na ho.

(Sunan Abu Dawud, Hadis-2802).

kuch riwayaat me woh janwar bhi mana hain jinke kaan aur than kate ho.
(Majmuaz Zawaaid, 4-19)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS