Mai student hoo sare jahan se mera nata hai
Meri takdir ka khata, Azab andher khata hai
Tanzl bap hai mera, jahalat meri mata hai
Jamana meri barbadi pe kyun aansu bahata hai
Mai apne waqt ka sabse bada farhad Majnu hoon
Mujhe dekho ke mai kya hun yeh mat socho ke mai kyun hun
Meri surat hai Noorani, mera huliya hai japani
Meri budhi hai unani, meri fitrat hai romani
meri Qismat me likhi darjana ki darbani
mai parwana Cinema ka Suraiya meri Parwani
Sre bazar bhi mai dil ka gola fenkh sakta hun
Jamal-E-yar ki garmi se aankhen Senk sakta hun
mai har zillat ko apne hak me ek owner samjhta hun
mai har ghode ko tattu, har hiran ko khar samjhta hun
mai apne agriculture hi ko culture samjhta hun
Mai har bhutni ko Shahnaz o pari paikar samjhta hun
Mai san Sarsath (67) ke har picture ki heroin pe marta hun
Mohabbat mera Pesha hai, yah business mai bhi karta hun
Meri knowledge na puchho mera har majmun hi anda (0) hai
Mera sujdaron, jazb daron muddat se thanda hai
Mare hathon me ab to jung-E-Aazadi ka jhanda hai
Siyasat meri gulli hai, election mera Danda hai
Mai ab neta banunga kaum ko rasta dikhaunga
Bahut kuchh ban chuka hun ullu ab auro ko banaunga
mai UNO ko America ka ek Suba samajhta hoo
Elizabeth ko Sar Saiyad ki Mahbooba Samajhta hoo
Ager likha ho Fatlooba to Matlooba Samajhta hoo.
N Mai Hindi Samjhta Hoo na mai Mansooba Samajhta hoo
Likha hai Jad Se Jaitoon w Janzir w Zaki maine
Kya Hai Tarjuma Khush Qismati ka Good Lucky maine
Hamesha Imtehan me Fail Hona meri Aadat hai
Meri Koshish Se qayem Fail Hone ki riwayat hai
Ager Mai Pass ho jau to College se Bagawat hai
Mai Jis College me padhata hoo mujhe Usse Mohabbat hai
Koi Bhi Imtehan Ho Fail hona Meri Hobby hai
Meri Na Kamyabi Dar Haqeeqat Kamyabi hai
Mai Jab Chhota tha Har har Master Se Mar Khata tha
Dba Kar Apni Doom College se akser Bhag jata tha
Mujhe Padhna na aayega, Na Aata hai, Na aata Tha
Mai Akser Apne Darja hi me Filmy Geet Gata tha
Isi Darja me ab bhi Taja Filmy Geet Gata hoo.
Baraili Ke Bare Bazar Me Jhoomka girata Hoo
Bari Mushkil se aa paya hoo Daswe Se inter tak
Nahi Tha Imtehan me Yad mujhko Roll Number tak
Likhu To kya Likhu Aati nahi mujh ko Grammar Tak
Ye Aalim hai ke Padh Sakta nahi English Paper Tak
Sawal-E-Lajmi ka answer Fi-Ul-fur kya likhu
Bajaz (بجز) Iske ke Ghar Par Khairiyat hai aur Kya Likhu
Mara Dil Tang hai Chemistry Ke Formula Se
Tabiyat Bhar gayi hai Airthmatic ke usoolo se
Kaha Tak Dil Bah Lau Mai in Kagaj ke Phoolo se
Yah Aalim log bhi Kuchh kam nahi Sukhe Baboolo se
Inahi ke Jal me be Soche Samjhe Phans gya hoo mai
Mujhe Bahar Nikalo Ek Kuwe Me Dhans Gaya hoo mai.
No comments:
Post a Comment