Urs Mnana Islam me Kaisa Hai?
Assalamu Alaikum Wa rahamathullahi Wa barakatuhu
Bismillahirrahmanirraheem
✒✒ Muhammadi Gulam ✒✒
URS KI HAQEEQAT QURAN AUR HADEES KI RAUSHNI ME..
♦URS (Arabic)
=Shaadi,
=Rukhsati,
=Zifaaf (Suhagraat सुहागरात)
UROOS/ AROOS (Arabic)
=Dulha/Dulhan.
Aur aaj ke logon ke hisab se
URS= YauM-e-Wafaat;
jis din, inke Buzurg apne Mehboob se Milne ka din hai.
DULHAN- Inke Buzurg;
DULHA- Allah (Nauzubillah);
Buzurg ki Wafaat (Rukhsati)-
SHAADI (Dono ka Milna).
NA'AUZUBILLAH
Yeh 'URS' MuhaMMad (ﷺ) ka laaya hua"DEEN-e-IslaM"NAHI,
balke SOOFIYAT (Jaahiliyat) hai.
URS ke naaM par
QABRO par salaana Mele jo lagte hain,
- Daur-e-JAAHILIYAT ki RasM aur
- IslaM Me Ek naya kaam hai jo BIDDAT (encourage things) hai.
URS ka Manana IslaM NAHI hai.
IsMe KOI Sawab NAHI,
balke GUNAAH hai.
Pyare Nabi(ﷺ) ne Farmaya: Deen Me 'HAR Nayi Cheez', BIDDAT hai. Aur 'HAR Biddat', GUMRAHI hai.
>Abu Dawood 4609 .
AUR EK JAGAH FARMAYA:Aur 'HAR GuMrahi', AAG (JahannuM) ki taraf le jane wali hai.
>Ibne-KhuzaiyMa 1785 .
URS,
'Qabar ki ziyarat'ke BAHAANE Manaya jata hai.
'Qabar ki Ziyarat'agar JAAIZ hai
to iska MAQSAD KYA HAI?
Nabi(ﷺ):
Maine tuMhe Qabro ki ziyarat se Manaa kiya tha,
lekin ab ziyarat ki ijazat deta hun,
taake IS SE tuMhe AKHIRAT YAAD AYE.
>Abu Dawood 3237 .
Qabristan Me kya kiya jaye?
Nabi(ﷺ)yeh DUA padhte(TarjuMa):
"MoMin aur MusalMan gharo par SalaMati ho.
HuM Me aagey jaane walo, aur peeche rehne walo par Allah ReheM farMaye.
In sha Allah, huM bhi anqareeb tuMse Milne wale hain".
>MusliM 2301 .
Jiske naaM ka URS hota hai,
Mela USI ki Qabr par lagta hai.
Log usMe shirkat keliye door-door se SAFAR karte hain.
PYARE NABI(ﷺ) NE FARMAYA:
TuM 'Safar' MAT karna,
SIWAYE TEEN Masjido ki taraf;
1) Masjid-e-HaraM,
2) Masjid-e-Nabwi,
3) Masjid-e-Aqsa.
>Bukhari 1189 .
URS ke Manaane ka HukM ya Saboot;
-Na Qur'an Me,
-Na Hadees Me,
-aur Na hi Sahaba(RA) ke zindagi ke aMal,
se Milta hai.
Yeh Shaadiyan(URS),SOOFIYON ki aijaad-karda
BIDDATEIN hain.
Nabi(ﷺ) NE FARMAYA:
"Jisne bhi koi aisa kaaM kiya,
jo'HaMare Deen Me se NAHIN hai',
Woh kaaM Allah ke nazdeek MARDOOD hai".
>Bukhari 2697 ;
# QABAR KE MUTALLUKH Ahadith->
Nabi(ﷺ) ne Hazrat Ali(RA)ko yeh hukM de kar
bheja:
"Jo Qabar OONCHI nazar aye,
usey'ZaMeen ke BARABAR'kar do".
>MusliM 2287 .
Jabir(RA)se riwayat hai ke;
Nabi(ﷺ)ne
IN baaton se MANA'A farMaya hai.
-Qabar ko PUKHTA karna,
-Qabar par BAITHNA,
-Qabar par koi IMAARAT banaana.
>MusliM 2289 .
Nabi(ﷺ) ne,
'QABRON par MASJID'
(Masjid-Sajdah karne ki jagah)
banane wale par.
LA'ANAT farMayi hai.
>Abu Dawood
Aaj LOGON NE Pyare Nabi(ﷺ) ki Pyari ' HADEESON ko GIRAA' kar,
apne URS wale 'Babaon ki QABRON' ko
Pakki, Pukhta IMaaratein bana kar OONCHA kar diya hai.
-Nabi(ﷺ) ke farMan ka Mazaakh aur
-DEEN ka Khel-TaMaasha bana diya hai.
Yeh nateeja hai,
-Nabi(ﷺ) se MUKHALIFAT(aur apne Buzurgo se LAGAAO KA),
-Nabi(ﷺ) ki ITTEBA se DOORI(aur IMAMON ki BAAT bina taheqeeq ke maanne) ka.
URS Me,
Qabron par kya hota hai?
DEEN ke naaM par,
saare BE-DEENI kaaM;
BIDDAT se le kar SHIRK tak.
-Qabar ko GHUSL(Sandal) dena,
-Qabar par CHAADAR chadhaana,
-Qabar par PHOOL daalna,
-Qabar par AGARBATTI jalaana waghaira waghaira.
Yeh sab deen me naye naye kaam hai.
Pyare Nabi(ﷺ)ne
- NA Khud kabhi aisa apni zindagi Me kiya,
- NA Aap(ﷺ) ne aeisi TaleeM Sahaba(RA)ko di.
Hame in kamo se bachna chahiye....
ALLAH HAME DEEN KO US TARAH SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE JISTARAH HAMARE SAHABA (RA) DEEN KO SAMJHA THA.....
AAMEEN
💪⚔🇸🇦 محمدي غلام اہل حدیث🇸🇦⚔💪
No comments:
Post a Comment