find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Biddat Ki Pahchan Aur Iski Misaal ke Taur Par. Roman urdu

BIDAT KISE KAHTE HAi?

بدت کیا ہے اسکی پحچان کیا ہے؟


बिद्दत क्या है इसकी पहचान कैसे करें?


♦Bismillahhirrahmanirrahim♦

*Jawab (Part-1)


Bidat Kehte Hain Kisi Naye Kaam Ki Ijaad Ko Jo Pehle Na Kiya Gaya Ho…
*Deen Ke Aitabar Se Har Woh Kaam Bidat Hoga Jiska Saboot Quran Hadees Main Nahin Milta.

 Deen me har wo kam bidat hai jo Rasool Allah (saw) se sabit nahi hai. Yani Hamara deen complete hai.Jo deen hamko Rasool Allah (saw) ne diya wo pura ka pura diya hai. Alhamdullillah❕Is bat me kisi tarah ka shak wa shubha nahi hai.

Rasool Allah (saw) sabse zada Allah se khauf khane wale the unhone deen ka har achha kam hame kar ke dikha diya hai, hame unhi ke bataye hue Raste pe chalna hai, naki khud se achhai burai tay karni hai, Deen me Allah ne Aur uske Rasool ne sab kuch bata diya hai, kya achha hai or kya bura hai. Ab hamara kam hai jo Allah ke Rasool (saw) ne jo ham tak pahuchaya uski hifazat karna hai. Aur Har us amal se bachna hai jo Rasool Allah(saw) se sabit na ho.

Farman-e-Rasool (saw) hai:-”
* 1.”Jisne Hamare Deen Main Koi Nayee Cheez Ijad Ki Jiska Deen Se Koi Talluq Nahin Hai To Woh Mardood Hai”
*( sahee Bukhari 2697)

*2.Abdullah ibn Umar (r.a) farmate hain..*
*Tamam biddatein Gumraahi hain, agarche “Bazahir wo logo ko Achhi lagein”
Sunan kubra Baihaqi,hadess 138

BIDAT KISE KAHTE HAI❓
*Jawab(Part-2)*

Aiye Dekhe Allah ke Rasool (saw) Biddati (yani bidat karne wala) ke bare me kya farmate hain…

*” Allah BIDDATI ki Namaz, roza, haj, zakat, kisi bhi amal ko qubool nahi karta
*(Sunan ibn Majah ,Hadees- 49)*

Ab sochne wali baat ye hai ke ye kafiro ki bat to chal nahi rahi, yaha bat to ham Musalmano ki hi chal rahi, Jo roza Namaz karte hain, yaha kaha ja rha ke roza namaz us insan ka qubul ni hoga jo bidat karta hai, yani deen me nayi ijaad, To hme ye sochna chahiye ke kahi ham koi bidat to nahi kar rahe Hai?

Jisse hmare saare amal bekar ho jaye!!

* Bidat ek aeisa gunah hai jisse insan sawab samajh kar karta hai, ab kyun ke wo bidat ko sawab ka kaam samajh kar karta hai isliye use wo amal ya kaam galat nahi lagta,

*Bidati insan ka koi bhi bade se bada or neki ke hisab se chahe kitna hi bada amal kyun na ho, bargah e ilaahi me qubool nahi hota, us waqt tak jab tak wo apni bidat ko chhod na de…

*BIDAT KISE KAHTE HAI?@
*Jawab(Part-3)*

*jab koi bidati kisi bidat ko ejaad ya anjaam deta hai to goya wo is baat ka iqrar karta hai ki Allah or uske rasool sallallahu alyihi wassallam is baat ko batana bhool gaye the (Nauzbillah❗) or aaj hame ye baat pata chali hai, lehaza is liye aaj hamara is par amal hai..

Log kahte hai isme burai hi kya hai, achha hi kam to hai, lekin agar ham kahe ki 4 rakat farz namaz ki jagah 5 rakat farz padhlo, to ap padhenge?

Nahi padhenge, kyun Ke hame utna hi karna hai jitna ki hame bataya gya hai,

Abdullah ibn umar (r.a) farmate hain..

”Tamam biddatein Gumrahi hain, agarche “Bazahir wo logo ko Achhi lage”
Sunan Kubra Baihaqi, hadees 138

To samjhne wali bat yaha pe ye hai ke bhale koi kam jo dekhne me achha lage, lekin deen me wo Rasool Allah(saw) se sabit ni hai, to wo biddat hai or har biddat gumrahi hai or har gumrahi ka thikana jahannum hai……

BIDAT KISE KAHTE HAI?
Jawab(Part-4)

*Jabir bin Abdulah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam apne khutbe mein ALLAH subhanahu ki hamd aur sana bayan farmate jaisa ki uska haq hai , Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmate jisko ALLAH subhanahu ne hidayat di usko koi gumrah karne wala nahi aur jisko ALLAH subhanahu gumrah kar de usko koi hidayat dene wala nahi, beshak sabse sachchi kitab ALLAH ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Mumahhad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka tareeqa hai, sabse buri cheez (deen mein) naye naye kaam paida karna hai, har naya kaam bidat hai, aur har bidat gumrahi hai aur har gumrahi jahannam mein le jayegi.
Sunan Nasaii, Vol 2, 1581-Sahih

Is hadees se hame ye sabaq milta hai ke Allah ka kalaam yani Quran or Rasool Allah (saw) ka tareeqa yani jo hadeese hai wo hi best hain, isse achha kuch ni ho sakta, Jab hamare pas sabse best chiz maujood hai to kahi or kyu bhatke.

                                                         Or ab bari aayi sabse buri cheez ki yani deen me naye naye kaam, jab hamara deen pura hai ,to hame apni taraf se koi kam kyu shuru karna hai, Hame har wo deen ka kaam jo ham karte hai wo Rasool Allah (saw) se sabit hai ya nahi ye dekh kar karna hoga, kyun Ke agar wo nek kam hai Allah ki nazar me, to wo hamare nabi ne zarur kiya hoga…

BIDAT KISE KAHTE HAI?
Jawab(Part-5)

Har acha kaam jise aap acha samjh kar kare, deen nahi hua krta. Kyun ke deen to wohi hai jo Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ne kiya, ya karne ka hukm diya ya Sahaba ko karte dekha or mana ni kiya. Pehle tamam Ambiyaa ki shariyat mein logon ne isi tarha biddaat ko daakhil kar ke Shariyat me badlao kiya tha,wo log bhi isi tarha apni marzi ki baate biddat e hasanah keh ker apne deen mein shamil ker dete the, Jis baat ko dil chahta maan lete, jis baat ka dil na chahta inkar ker dete… isiliye ALLAH Pak ne Quran e Kareem mein tmam Eimaan walon ko hukm de dia ke ALLAH ki ittibaa karo or Rasool S.A.W. ki ittibaa kro, ab agr hum in dono hukmo ko chhor ker apni nafs ki ittebaa krenge to wo deen kaise ho skta hai.

Quran me Allah Tala farmata hai,
*”Aaj din ko maine tumhare liye tumhare deen ko mukammal kar diya, or tum par apni nemat ko poora kr diya, or tumhare liye deen e Islam ko pasand kiya.
(Sorat ul Maidah. Ayat No.3)

Is ayat se hame ye pata chalta hai ke hamara deen Mukammal hai or ab isme hm kuch apni taraf se ni jod sakte or na hi ghata sakte,Ye deen Allah ka hai, Usne hamare liye ise pasand kiya…

*BIDAT KISE KAHTE HAI?
*Jawab(Part-6)*

Aaiye BIDAT ko ek or bahut achhe dhang se samjhte hain, Misaal ke zariye

1.Pahli Misaal Ek kamra kaaghazon se bhara hua hai or ek side per 1000 ka note para hua hai, Bataiye Chor kya cheez churayega us kamre se? Zahir hai aap ka jawab hoga k 1000 ka note churaye ga. kyu? Isliye ki sarkar ne us note ki value btai hai, halanki hai to wo bhi kaghaz hi! . Or baaqi kamra bhi kaaghazon se bhara hua hai, per us note per sarkar ki Muhar (stamp) hai jis ki waja se us ki value hai, Isi trha jis kaam per Muhammad ur* *Rasool Ullah S.A.W. ki Muhar (stamp) hogi, wo kaam deen hoga, or jis kaam par Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki Muhar (stamp) nhi, aise kaam jitney marzi kar liye jaye un ki koi auqaat nhi, bilkul un kaghazon ki trha!
Isi tarah Allah ke yaha bhi usi kaam ki value hogi jispe Allah ke Rasool S.A.W ki mohar hai, warna jaisa ki hm hadees se pahle bata chuke hain.

” Allah Biddati ki Namaz ,Roza, Hajj, zakat, kisi bhi amal ko qubool nahi karega”.
(Sunan ibn majah.hadees 49)

*BIDAT KISE KAHTE HAI?

*JawabPart-7(Complete)
2.Dusree Misaal Ek shakhs Namaz parh rha ho, Aur wo soche ke ek rakat mein 2 sajde hain, per rukoo ek hi, kyu na main rukoo bhi 2 hi ker loon, ALLAH ke aage rukoo karna acha kaam hi hai bura thore hi hai? Ya koi soche ke maghrib ki 3 rakaten hain to main 4 hi parh loon level balance rahega, 3 rakat thoda ajeeb lagta (Nauzbillah❗) acha rahega namaz parhna acha kaam hi hai bura thora hi hai❓Ab aap mujhe btaiye kya us shakhs ki namaz hogi❓Yaqeenan aap kahenge nahi❗. Isliye ke us ka treeqa. *Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. k treeqe ke mutabiq nahi hai. Aaisi Namaz *Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ne nahi parhi. Lehaza aap kehte hain ke us shakhs ki namaz nahi hoi. Bilkul isi trha jo kaam Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki Shariyat mein nhi hai,* *beshak wo jitna marzi kar liya jaye, beshak us pr jo marzi niyyat rakh li jaye wo sawab ka kaam nahi ho sakta, wo deen e Muhammad S.A.W. nahi ho skta.*

Nek aamaal wohi hain jo shariyat ne hume btaye hain, Lehaza hume tmam biddaat se bachna chahiye, Amal kar hi rahe hain ham log to kyu na un Aamaal ko Sunnat ke mutabiq hi adaa kiya jaye, Aur DEEN E MOHAMMAD pe chala jaye, Aur apne amalo par Allah ke Rasool (saw) ki mohar lagai jaye taki Allah ke yaha hamare amal qubul kar liye jaye.

Ya Allah Hame Biddat Ki Gumrahi Se .Bacha
Ameen

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS