find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramzan ke MAhine Me Ager Biwi Se Mil Le To Iska Kaffara.

Ramazan Ka Roza Todh de to kya Kaffara hoga ?

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki ek shaksh Rasool Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki khidmat me hazir hua aur arz ki
Main halaq ho gaya: Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya tum kis tarah halaq hogaye to usne kaha ki main Ramazan me ( roze ki halat me) apni biwi se sohbat kar baitha
Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ek ghulam aazad karo Usne kaha meri itni haysiyat nahi
To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya lagataar 2 mahine ke roze rakho to usne kaha ki meri itni himmat nahi
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 60 miskeeno ko khana khilao to usne kaha mujhme iski bhi istataat nahi
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya baith jao aur wo baith gaya itne me ek khajur ka tokra ( hadiya)  aaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jao ye sadqa kar do.
usne kaha ki us zaat ki kasam jisne aapko haq ke saath  bheja hai  sare madine me  mujhse zyada koi zaruratmand nahi
Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jao apne gharwalo ko khila do
Sunan Ibn Majah, Vol 7 ,  1671-Sahih;
________________________

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS