Akber Aabadi Ne Kaha Tha
Aaye Najer Jo kalh Mujhe Be Pard (پرد) Bibiyaan
Akber Jamin Me Gairat Qaumi Se Gir Gya
Puchha jo Mai Ne Aap Ka Parda Wo Kya Hua?
Kya Yeh Makhloot Talim ka Natija Nahi Hai,Beshak yeh Makhloot Talim ka Asher Hai.Àaj kalh Ibtda Claso Se hi Makhloot Talim Shuru Ho jati hai Aur Height Claso Tak Makhloot Talim ka Riwaaj Hai.Is Makhloot Talim Se Fayeda Bhi hai ya Nuksaan Hi Nuksaan Hai.
Ager Primary Sateh Per Makhloot Talim Di Jati Hai To ise koi Faraq Nahi Parta Hai,kyu ke "Bachhon" Aur " Bachhiyon" ki Wah umer Aeisi hoti Hai ke jis Se Kisi Bhi tarah ki Tehreek Nahi Hoti Aur Bachhe,Bachhiyaàn us Mahaul me Rahker Bhi Yaksaniyat Mahsoos Karte Hai.Isse Dono ki Tarakki Yaksa Raftaar se karti Rahti Hai. Mager Jb Larke, Ladkiyan "Baalig" Ho jate hai,Unke Ander Tehreek Paida Hoti Hai Use Galat Raste Par Le Jati Hai.
Makhloot Talim ke Wakla Akser Kaha Karte Hai ke dono ko khawah kitni hi Bandisho ki Rakha jaye ,ya dono jinso me kisi bhi tarah ka Muaehda bhi ho to bhi Larkiyaan ya Larke ager Is Fitret ke hue to kharab ho hi jayenge.Mager Aeisi bat nahi hai,Balke yeh Tehreek ager Shuru Se hi n hone di jaye to Aeisa Nahi Ho Sakta.
Makhloot Talim me Larke Aur Larkiyaan ek Sath Padhte hai Isse Ladkiyon me zhizhak,Sharem aur hya Wagairah Nahi Aati Aur Usi Se Larkon Aur Ladkiyon Me Jo Fark Hona Chahiye Wah Nahi Ho Pata hai.
Afsos ke sath ye Kahna padta hai Masawiyat ke Nam Par Ladkiyon ko Aala Talim Me Mardon ke Sath Hi Talim Di ja Rahi Hai Iske Nataij Hmare Samne Hai.
Afsos ke sath ye Kahna padta hai Masawiyat ke Nam Par Ladkiyon ko Aala Talim Me Mardon ke Sath Hi Talim Di ja Rahi Hai Iske Nataij Hmare Samne Hai.
No comments:
Post a Comment