find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Momino Par Amal Lazim Hai? Aamal Imaan Mein Dakhil Hai (5/7)


5/7 Aamaal Emaan Mein Dakhil Hai.
Tehreer: Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafidahullah.
Romanised: Syed Ibraheem Salafi.
Imam Aajurri Rahimahullah (died 360 hijri) farmatey hai:

اعلموا۔رحمنا اللّٰہ وایّاکم۔یا أھل العلم بالسّنن والآثار ، ویا معشر من فقّھھم اللّٰہ تعالیٰ فی الدّین بعلم الحلال والحرام : أنّکم ان تدبّرتم القرآن کما أمر اللّٰہ تعالیٰ ، علمتم أنّ اللّٰہ تعالیٰ أوجب علی المؤمنین بعد ایمانھم بہ وبرسولہ العمل ، وأنّہ تعالیٰ لم یثن علی المؤمنین بأنّہ قد رضی عنہم وأنّھم قد رضوا عنہ ، وأثابھم علی ذٰلک الدّخول فی الجنّۃ ، والنّجاۃ من النّار الّا بالایمان والعمل الصّالح ، قرن مع الایمان العمل الصالح ، لم یدخلھم الجنّۃ بالایمان وحدہ ، حتّٰی ضمّ الیہ العمل الصّالح الّذی وفّقھم لہ ، فصار الایمان لا یتمّ لأحد حتّٰی یکون مصدّقاً بقلبہ وناطقاً بلسانہ وعاملاً بجوارحہ ، لا یخفیٰ علی من تدبّر القرآن، وتصفّحہ ، وجدہ کما ذکرت ۔
واعلموا۔ رحمنا اللّٰہ وایّاکم۔ أنّی قد تصفّحت القرآن ، فوجدتُّ ما ذکرتہ فی شبیہ من خمسین موضعاً من کتاب اللّٰہ تعالیٰ أنّ اللّٰہ تبارک وتعالیٰ لم یدخل المؤمنین الجنّۃ بالایمان وحدہ ، بل أدخلھم برحمتہ ایّاھم ، وبما وفّقھم لہ من الایمان ، والعمل الصالح ۔
وھذا ردٌّ علی من قال : الایمان معرفۃ ، وردٌّ علی من قال : الایمان المعرفۃ والقول ، وان لّم یعمل!! نعوذ باللّٰہ من قائل ھٰذا ۔
 
"Quran wa hadees ke ulama' aur deen ke fuqaha'! Allah tum par raham karey! jaan lou ke aagar tum quran par hukm e ilahi ke mutabiq gaour wa fikr karogey tou tumhe maloom ho jayega ke Allah ta'ala ney apne aur apne Rasool par emaan laaney ke baad momino par aamal ko lazim qaraar diya hai, neez unko razamandi ka certificate aur jannat ke husool aur aag se nijaat ki surat mein badla emaan aur aamal e saleh dono ki maujoodgi mein diya hai, yane Allah ta'ala ney emaan ke sath aamal e saleh ko milaya hai, sirf emaan ke sath jannat mein dakhil nahi kiya, hatta ke hisaab e tawfeeq nek aamaal ko bhi uske sath mila na diya, lehaza kisi ka emaan mukammil tab hi hoga, jab wo dil se tasdeeq, zubaan se aqraar aur aaza' se amal kareyga, quran e kareem par gaour wa fikr aur uske waraq gardani karne waley is baat ko khoob jaantey thhey_
Allah ta'ala tum par aur hum par raham karey! jaan lou ke main quran ki waraq gardani ke baad is natije par pohchaa hu ke taqreeban pachchees aise maqamaat hai, jin mein Allah ta'ala ney bayaan kiya hai ke wo sirf emaan ki wajhe se jannat mein dakhil nahi kareyga, balke uski rahmat aur hisaab e tawfeeq nek aamaal bhi emaan ke sath shamil hogen_
ye un lougon ka rad hai jo sirf marifat ko emaan kehtey hai, neez un lougon ka bhi jo emaan ko sirf dil ki marifat aur zubaan ka aqraar kehtey hai, agar chey amal na bhi kiya jaye, aisa kehne walon se Allah ta'ala ki panah mein aata hu."
[Ash Shariah Li Aajurri: 618_619/2]
To Be Continue... In-Sha-Allah...
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS