Juganu ki Raushani hai kashna Chaman me
Ya Shama Jal Rahi Hai Phoolo ki Anjuman Me
Aaya Hai Aasma Se Urker Koi Sitara
Ya Jan Par Gai Hai Mahtab ki Kiran Me
Ya Shab ki Saltnat Me Din Ka Safeer Aaya
Gurbat Me Aake Chamka Gumnam Tha Waten (وطن) Me
Takma Koi Gra Hai Mahtab Ki Kba Ka
Jarra Hai ya Numaya Suraj Ke Pairahen Me
Husn kadim ki yeh Paushida Ek Jhalak Thi
Le Aayi Jisko Kudrat Khalot Se Anjuman Me
Chhote Se Chand Me Hai Zulmat bhi Raushani Bhi
Nikla Kabhi Gahen Se,Aaya kabhi Gahen Me
Parwana Ek Patanga,Jugnu Bhi Ek Patanga
Wah Raushani Ka Talib,Yeh Raushani Srapa
(Alama Ekbal علامہ اقبال)
No comments:
Post a Comment