Aurton ke baare mein Nabi ﷺ ki wasiyyat kya aap is wasiyyat ka khayaal rakhte hain?
حَدَّثَنَا أَبُو كُرَيْبٍ، وَمُوسَى بْنُ حِزَامٍ، قَالَا: حَدَّثَنَا حُسَيْنُ بْنُ عَلِيٍّ، عَنْ زَائِدَةَ، عَنْ مَيْسَرَةَ الْأَشْجَعِيِّ، عَنْأَبِي حَازِمٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: اسْتَوْصُوا بِالنِّسَاءِ؛ فَإِنَّ الْمَرْأَةَ خُلِقَتْ مِنْ ضِلَعٍ، وَإِنَّ أَعْوَجَ شَيْءٍ فِي الضِّلَعِ أَعْلَاهُ، فَإِنْ ذَهَبْتَ تُقِيمُهُ كَسَرْتَهُ، وَإِنْ تَرَكْتَهُ لَمْ يَزَلْ أَعْوَجَ، فَاسْتَوْصُوا بِالنِّسَاءِ
Tarjumah: Hum se Abu Kuraib aur Musa bin Hizam ne bayan kiya, kaha ke hum se Husain bin Ali ne bayan kiya, un se Zaidah ne, un se Maisarah Ashja’ee ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne bayan kiya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya “Aurton ke baare mein meri wasiyyat ka hamesha khayaal rakhna, kiunki aurat pasli se paida ki gayi hai. Pasli mein bhi sab se ziyada tedha upar ka hissah hota hai. Agar koi shakhs use bilkul seedhi karne ki koshish kare to anjaam kaar tod ke rahega aur agar use woh yunhi chhod dega to phir hamesha tedhi hi reh jaaye gi. Pas aurton ke baare mein meri naseehat maano, aurton se Achcha sulook karo.” (Sahih Bukhari: 3331)
No comments:
Post a Comment