بـسـم الله الـرحـمـن الـرحـيـم
Aamaal Emaan Mein Dakhil Hai.
Tehreer: Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafidahullah.
Romanised: Syed Ibraheem Salafi.
Imam Muhammad Bin Nasar Al Marwazi Rahimahullah farmatey hai:
وصف اللّٰہ عزّوجلّ المؤمنین بالأعمال ، ثمّ ألزمھم حقیقۃ الایمان ، ووصفھم بھا بعد قیامھم الأعمال ، من الصّلوٰۃ والزکّاۃ وغیرھا۔
"Allah ta'ala ney momino ko aamaal se muttasaf farmaya hai, phir inko haqiqi momin qaraar diya, lekin namaz aur zakaat wagaira jaise mazkorah aamaal ko qayim kar leyne ke baad."

(Tazeem Qadr As Salaah)
Farmaan e Ilahi hai:
○وَمَا کَانَ اللّٰہُ لِیُضِیْعَ اِیْمَانَکُمْ○
▪البقرۃ : ١٤٣▪
"Aur Allah ta'ala tumhare emaan ko zaya karne wala nahi."

[Al Baqrah: 143]
Hafiz Ibne Abdul Barr Rahimahullah [463-368] likhtey hai:
م یختلف المفسّرون أنّہ أراد : صلاتکم الی بیت المقدس ، فسمّی الصّلوٰۃ ایماناً ۔
"Mufassireen ka ittefaaq hai ke yahan bait ul maqdis ki taraf mou(face) kar ke padhi gayi namaz muraad hai, lehaza Allah ta'ala ney namaz ka naam emaan rakkha hai."

[At'Tamheed Li Ibne Abdul Barr: 253/9]
sabit huwa ke emaan mein aamaal dakhil hai, namaz aaza wa jawarih aur dil ka aamal hai aur zubaan ka qaoul hai.
Farmaan e Bari ta'ala hai:
○قُلْ اَطِیْعُوا اللّٰہَ وَ الرَّسُوْلَ فَاِنْ تَوَلَّوْا فَاِنَّ اللّٰہَ لَا یُحِبُّ الْکٰفِرِیْنَ۔○
▪آل عمران : ٣٢▪
"(Aye Muhammad ﷺ) keh dijiye, Allah aur uske Rasool ki aata'at wa farmanbardari karo, aagar tum phir gaye tou Allah kafiron ko pasand nahi karta."

[Aal Imran: 32]
Is aayat e kareema se sabit huwa ke mehaz dil ki tasdeeq aur zubaan ka aqraar emaan ke liye nakafi hai, kuy ke yahan emaan ke liye aata'at ko amalan lazim qaraar diya gaya hai.
Farmaan e Rabbul Aalameen hai:
○وَمَا اُمِرُوْۤا اِِلَّا لِیَعْبُدُوْا اللّٰہَ مُخْلِصِیْنَ لَہُ الدِّیْنَ حُنَفَآءَ وَیُقِیْمُوا الصَّلٰوۃَ وَیُؤْتُوا الزَّکٰوۃَ وَذٰلِکَ دِیْنُ الْقَیِّمَۃِ○
▪البیّنۃ : ٥▪
"Unko sirf ye hukm diya gaya tha ke eksoo ho kar khalis Allah ki ibadat karen, neez wo namaz qayim karen aur zakaat aada karen, yehi mazboot deen hai."

[Al Bayinah: 5]
Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah [774-701] farmatey hai:
وقد استدلّ کثیر من الأئمۃ کالزّھری والشّافعیّ بھٰذہ الآیۃ الکریمۃ علی أنّ الأعمال داخلۃ فی الایمان ۔
"Behat se aaimma kiraam jin mein imam zehri aur imam shafayee Rahimuhumallah shamil hai, ney is aayat e kareema se istedaal kiya hai ke aamaal emaan mein dakhil hai."

[Tafseer Ibne Kaseer: 477/8]
digar behat si aayaat se bhi aamaal ka emaan mein shamil hona maloom hota hai.
To Be Continue... In-Sha-Allah...
No comments:
Post a Comment