find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Asal Kaamyabi Kya Hai?

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*

*Asal kamyabi kya hai…???*

الحمد الله والسلام على رسوله الكريم اما بعد

Hamare zehno me jo mayyarat bethe hue hai woh kya hai … *kamyabi pese se hai ,zaidad se hai shohrat se hai ikhtedar se hai ,karobaar se hai*.

Jo jitna daulatmand woh kamyab jo jitna mashoorr woh kamyab jo hukumat tk pohch gya woh kamyaab. Jisne bada karobar jama liya woh kamyab… yehi hai asal me saare mees ki gaant. jo tasawwur apka kamyabi ke liye hoga usi ke mutabiq apki bhaagdod hogi usi ke liye jeddojehad hogi usi ke liye din raat ki mehnat hogi yehi hai asal sheh jiski yaha naïf ho rhi hai…

*Kamyabi daulat se nhi kamyabi shoharat se nhi kamyabi ikhtedaar aur hukumat se nhi balqe kamyabi hai imaan se,amal-e-swaleh se tawasil bil haq se tawasil bil sabr se.*

Aap gaur kare is nukte nazr ka is attitude ka iska badal jana hi insane shaqsiyt ke andr inqelaab barpa karega ab aapka natija kya nikla ..agarche daulat se kamyabi hoti karun bohut kamyab hota agar hukumat se kamyabi hoti to firaun aur namrud bohut kamyab hote.

Kamyabi inse nhi ..

*Abu dharr zifari kamyab hai chahe unke passkuch nhi ghar tk nhi Rasulallah ﷺ ne farmaya ke Allah ke kuch bande ese hote hai jo kisi mehfil me jana chahe to nhi ja sakte jo kahi rishta krne chaha to rishta krne ko koi tayr nhi lekin Allah key yha unka maqam hai ke bhule se kisi baat pe kasam kha beth te hai to Allah unki kasam ki laaz rakhta*

yehi hai farq

is baat ka maan lena asan hai is par subhan Allah kehna asan hai lekin iske mutabiq apke apne zehn ka badal jana bohut mushkil islie ke apan mutasir hote hai appne mahol se ……

bada sa mahal dekh ke zunzhali ati hai aur dil me ata hai ke bade hi naseeb wale log hai bade hi kamyab ha halaqe kuch malum nahi ke yahi sabse badi nakyami ho.

yehi wajh hai ke quran me baar baar kaha hai *key yeh log kamyab hai hai*

wo log jinse Allah kehta hai

*ey iman walo ruku karo sazda karo aur apne rabb ki pratist aur bandagi karo aur ache kaam karo taqe tum KAMYAB Ho jaye*

to kamyabi kin chijo se hai yeh hai sabse bada sabaq yeh hamare dil me baat beth jaye to zindagi badal jaye bhaagdod ka rang badal jaye.

jese ki Rasulallah ﷺ ki hadees hai *mere liye duniya missal us sawar jesi hai ke jo thodi der darakht ke neche beth ta hai fr chal padta hai isi tarah mere liye dunya haii*

aur dunya me ese raho ke jese tum aznabi ho aurrahe chalet musafir

aur yeh jab hoga jb quran ki ayah apne dilo me beth jaygi

وَ الۡعَصۡرِ.اِنَّ الۡاِنۡسَانَ لَفِیۡ خُسۡرٍ.
اِلَّا  الَّذِیۡنَ  اٰمَنُوۡا وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ وَ تَوَاصَوۡا بِالۡحَقِّ ۙ  وَ تَوَاصَوۡا بِالصَّبۡرِ

Yeh hai asl baat ke sahaba kyu ek dusre ko yaad dilate hai isili ke dekhe jab barfbari ho rhi ho to dekhoge ka barf kpdo pe laf jati hai to aap jhatakte ho to usi tarh hamare iman par is duntya me rehte hue jab mutasir hote hai mahol sse to garda ajata haio usko jhtakte rehne ki jarurt hai aur uska tareeqa hai ke hamesha yaad rakho ke kamyabi inse nhi hai chamak dhamak se nhi hai jo tumhe riza kar rhi hai aur tumhe ghum kar rhi hai is ghum lafz par iqbal ka ek shayr yaad aya
ke

*KAFIR KI YEH PEHCHAN KE AFAAQ ME GHUM HAI  AUR MOMIN KE YEH PEHCHAN KE GHUM USME HA AFAQ*

tum ghum na hoke reh jao is dunya ki muhabbat me lehaz taza karte raho apne iman ko.

FIR YAD KARLO FR TAZA KARLO APNEE YQQEN KO KE KAMYABI SHOHART SE SHOHRAT, DAULAT SE NHI KAMYABI 4 CHIJO SE HAI

ek
1) IMAN SE
2) AMAL E SWALEH SE
3) TAWASIL BIL HAQ
4) TAWASIL BIL SABR

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS