find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Fazail-E-Yaum-Ul-Juma.

*Fazail-E-Yaum-Ul-Juma’*

*By: Hafiz Nadeem Zaheer Hafidahullah*

*Romanised: Syed Ibraheem Salafi*

__________ _
*○بسم الله الرحمن الرحيم○*

Tamaam din to Allah Rabb ul Izzat ke hain, lekin in dino mein jo fazilat "yaum ul juma’ (juma’ ke din)" ko hasil hai wo kisi aur din ko nahi hai juma’ ke din ko Allah ﷻ ney bahut saarey aizazaat aur ikhtesasaat se nawaza hai, jin ki tafseel Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney batadreej bayaan farmayi hai_

*Behtareen Din:* Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:
خير يوم طلعت فيه الشمس يوم الجمعة
"Jis behtareen din mein suraj tuloo’ hota hai wo juma’ ka din hai."
(Sahih Muslim hadees no: 854, Tarqeem: Darussalam)

*Aadam (Alaihis Salaam) Ka Yaum-E-Paidaish:* juma’ ke din Aadam (Alaihis salaam) paida huwe, usi din jannat mein dakhilah aur usi din jannat se khurooj huwa jaisa ke Farmaan-E-Nabawi (ﷺ) hai:
فيه خلق الله آدم وفيه أدخل الجنة، وفيه أخرج منها
"Isi (juma’ ke din) mein Allah ﷻ ney Aadam (Alaihis salaam) ko paida kiya aur usi din wo jannat mein pahunche aur usi din wahan se nikalay gaye."
[Sahih Muslim: 854]

*Qayamat Ka Din:* Jahan juma’ ka din ki bahut si khususiyaat hain wahien ek aham khususiyat isi din qayamat ka zuhoor pazeer (zaahir hona, aana) hona hai_ Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney farmaya:
ولا تقوم الساعة إلا في يوم الجمعة
"Aur qayamat juma’ ke din (hi) aayegi."
[Sahih Muslim: 854]

*Azmat-E-Juma’:* Yehi wajah hai ke juma’ ke din ki azmat o jalalat ki bina par is kayenaat mein insaan aur jinnaat ke alawah sari makhlooq ye din aajizi aur girya wizari ke sath guzaar deti hai. Chunanchey Hadees-E-Nabawi (ﷺ) hai:
وما من دابة إلا وهى مصيخة يوم الجمعة من حين تصبح حتى تطلع الشمس شفقاً من من الساعة إلا الجن والانس
"Jinno aur insano ke alawah tamaam jaandaar juma’ ke din subah sadiq se ley kar tuloo’-e-aaftaab tak qayamat ke muntazir hotey hain." (Jis ki kaifiyat ka ilm Allah hi ko hai)
(Abu Dawood: 1046, is ki sanad ustaad e mohtaram Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ke mutabiq sahih hai)

Ya’ni insaan bawajood iske ke Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney farmaya: "Qayamat juma’ ke roz hi aayegi" ghaflat ka shikaar hai aur aakhirat ko bhula kar duniya ki rangeeniyon mein mubtala (dooba) hai, jabke is ke bar’aks (opposite) dusrey jaandaar (qayamat ke khauf se) juma’ ka din pareshani ki halat mein guzaar deyte hain.

*Pichle Gunaahon Ka Kaffarah:* Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:
الصلوت الخمس، والجمعة إلى الجمعة، ورمضان إلى رمضان مكفرات ما بينهن إذا اجتنبت الكبائر
"Panch namazein, ek juma’ se dusrey juma’ tak, ramazan se (dusrey aaney waley) ramazan tak apne apne darmiyani ke waqfe ke guaahon ka kaffarah hain bashart yeh ke (shart yeh hai ki) kabeerah gunaahon se bacha jaye."
[Sahih Muslim: 233]

*Juma’ ke din aur uski raat foot honey waley shakhs ke mutalliq Irshaad-E-Nabawi (ﷺ) hai:*
من مات يوم الجمعة أو ليلة الجمعة وقي فتنة القبر
"Jo aadmi juma’ ke din ya juma’ ki raat (juma’ se pehle wali raat) ko mara use qabr ki aazmaish se mehfooz kar diya jaata hain."
[Musnad Ahmed:  220/2 Hadees no: 5773, mazeed tehqeeq ke liye dekhiye ustaaz Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ki "azwa ul masabeh tahqeeq mishkat ul masabeh" raqm: 1367]

*Qubuliyat Ki Ghadi: Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:*
إن في الجامعة لساعة لا يوا فقها عبد مسلم وهو قائم يصلي يسأل الله تعالى شياً إلا أعطاه إياه، وأشار بيده يقللها
"Juma’ ke din mein ek aisi ghadi hai ke jo musalmaan bandah bhi us waqt mein khada ho kar namaz padhey aur kisi cheez ka sawaal karey to Allah ﷻ use ata farma deyta hai, Aap (ﷺ) ney hath ke ishare se samjhaya ke ye waqt bahut mukhtasar hota hai."
[Bukhari: 893, Muslim: 852]

Dusri hadees mein hai: "Juma’ ka din baarah (12) ghadiyon par mushtamil hota hai, un mein ek ghadi aisi hai jo musalmaan bhi us waqt mein Allah ﷻ se sawaal kar raha ho to Allah ﷻ use ata farma deyta hai, usey namaz-e-asr ke baad aakhri ghadi mein talash karo."
(Abu Dawood: 1048, is ki sanadsahih hai)

Baaz ulama "qubuliyat ki ghadi" ke ta’een mein ikhtelaaf kartey hain lekin  musalmaan ki haisiyat se hamein sara din raza-e-ilahi (Allah ki raza) ki talash mein guzaar deyna chahiye_

*Tarik-E-Juma’ (Juma’ chhodne waale) Ka Anjaam:* Jis tarha upar zikr ki gayi ahadees se juma’ ki fazilat o ahmiyat ka bakhubi andaza lagaya jaa sakta hai aise hi darj zail hadees (juma’ ko bila uzr chhodne ki wayeed) se ye samajhna mushkil na hoga ke juma’ chhodne waala, Allah ﷻ ki naraazgi mol ley kar (haasil kar ke) jahannum ka eendhan ban raha hai_ Irshaad-E-Nabawi (ﷺ) hai:
لقد هممت أن آمر رجلاً يصلي بالناس ثم أحرق على رجال يتخلفون عن الجماعة بيوتهم
"Maine pukhta irada kiya ke kisi aadmi ko hukm dun wo logon ko namaz padhaye, phir jo mard namaz-e-juma’ se peechey reh jaatey hain unhein unke gharon sameet jala dun."
[Sahih Muslim: 652]

Mazeed farmaya:
"Log namaz-e-juma’ chhodney se baaz aa jayen warna Allah ﷻ unke dilon par muhar laga deyga, phir wo ghafilon mein se ho jayenge."
[Sahih Muslim: 865]

Ya Rabb al Aalameen hamein un logon mein se kar dey jo juma’ ke din teri rehmatein, neymatein samettey hain aur in fazail ke ahel hain aur un jaisa na karna jin ke dil teri yaad se ghaflat ki bina par muhar lagaaye huwe ho chuke hain. (Aameen)

Isha’at ul hadith Shumarah No.1, page no: 20,21

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS