find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Quran Majeed Ager Galti se Gir jaye to Iska Kaffara kya hai?

🍀 Quran Paak Galti Se Gir Jaye To Kya Iska Kaffara Hai❓ 🍀
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🌸 *فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*

As salamu Alekum ...

💠 _Aaj kal ye baat mashoor hai k AGR galti se bhi Quran paak gir jaye to ye bahot bade gunah ka sabab hai, is waja se aksar log pareshan ho jate hai k is galti ka Kaffara kaise kare. Aise me la ilm pet molwi bhi aise aise tareeqe batate hai jiska shriyat me koi hukm nahi h._

👉🏿👉🔘 Itna jaan le k Quran majeed Allah ka Kalam hai, Quran majeed ka ahtram aur tazeem faraz hai. Iski be-adbi aur be-hurmati na jayaz aur haram hai. Baaz awqaat iski toheen kufr tak poncha deti hai. Isliye Quran Kareem lene dene uthane rakhne m ahteyat se kaam Lena chye.

Lekin phir bhe gair-irade tor par Quran majeed hath se chut kar gir jaye to koi gunah lazim nahi aata aur na hi koi Kaffara shriyat me Tay kiya gaya hai.

⛔ Sahabi e Rasool Abdullah bin Abbas r.a se rewayat hai k Allah k Rasool saw ne faramaya :
" Allah tala ne meri Ummat se (Anjane m hone wali) galti, bhool chook aur zoor zabardasti k nateeje me hone wale khelaf e shriya kamo ko maaf kar diya hai.
_📚 Sunan Ibne Maja : 2045_

⛔ Saydna Abu Hurerah r.a se Marwi Sure Baqra ki Aakhri 2 Aayat ki fazeelat k muttaliq hadees me hai "
Aye Hamare rab ham se mawakhza na kar, Agar ham bhool jaye ya ham galti kar jaye,  to Allah tala ne faramaya :
"Maine Aisa Kar diya "
_📚 Sahi Muslim : 330_

💠 Upar ki dono hadees se pata chalta hai k bande se Agar bhool chook ho jaye to Allah tala unhe maaf farma deta hai, Agar bhool se Quran Kareem bhe gir jaye to WO Allah tala k nazdeek maaf hai Aur Quran Kareem k girne par koi Kaffara etc Allah tala ne Aur Aap saw ne bayan nahi Farmaya. Agar banda Astagfaar kar leta hai to behtar hai. Allah se duwa hai k hame Quran paak ko samjh kar padhne ki tofeeq se Aameen.

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
📢 Forward to All & Get Sawab E Jariya 📢

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS