ACHCHE AQLAK KI FAZILAT
Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya
Mai zimme daar hoon jañnat ki âala manazil me ek mehal ka us shakhs ke liye jiska akhlaq (Character) accha hoga.
Grade: Hasan (Al-Albani)
[ Sunan Abi Dawud: 4800 ]
Note: Acche akhlaq me ye sab cheezen shamil hain: dusron ka Adab wa ehteraam karna - sach bolna - aajiz wa inkesaar ikhtiyaar karna - dosron pe ehsan karna - mo^aaf karna - isaar karna - âdal wa insaaf karna - mo^amalaat me narmi ikhtiyaar karna - Raaz ki hifazat karna - sharam wa haya wala hona - SHafqat wa raham karna - Allah ke liye Mohabbat aur Allah ke liye Nafrat karna wagirah sab kaam isme shamil hain.
No comments:
Post a Comment