Sach ko Jante hue bhi Use manne se inkar kar dena.
Kuchh Aeise Log bhi Hote Jo kisi Masle Pe Sach aur Jhoot, Galat aur Sahi, Acha aur Bura sabhi ko Jante hue bhi apne Aadami ka Sath dete hai chahe wah kyu na Galat hi kar raha ho. Maslan Kisi aadami ne kisi ki Jamin kabja Kar liya, ab wah Kabja Karne wala shakhs Mera Apna khas hai, man le koi Rishtedar me se hai to Hm Apne Rishtedar ka hi Sath denge khwah Kyu na wah Dusro pe Zulm-o-Jyadati hi kar raha hai, Kyu na wah Logo par Sitam Dhhah raha ho mager hm isliye Uske Sath khare Hote hai kyu ke wah hmara Apna hai fir hm uske khilaf kaise Faisla De sakte hai, uski izzat km ho jayegi aur wah kitna bhi to Hmara Apna hi hai..... in sari bato ko Hm dhyan me rakh kar Insaf ka Qatal kar dete hai Kyu ke hm Shakhsiyat Parasti Ke usoolo pe chalte hai, Hmare ander Iman nam ki koi Chij nahi, Khuda Ka Khauf tak nahi, Qabar Ke Azab se kaun darta hai?, Jahannum ke Aag se Darne ki kya jarurat?, Nabi ka Farman Kahne Sunne Se jyada aur kuchh nahi. Jab Hm Shakhsiyat Parasti ke buniyad pe Koi Faisla Sunate hai to us waqt In Sari bato ka Mazak urate hai balke Yah Kahna galat nahi hoga ke Hm Us Waqt Allah ka Inkar karte hai ....... ager Allah ka darr hota ke kalh Qyamat ke Din Hm kya Jawab denge to Fir Aeisi Harkat kabhi nahi karte... Allah hme Aeisi burai se bachaye aur Aeise logo se bhi. Aamin Summa Aameen
اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه
Hakeekat parast aur shakhsiyat parast insan me farq:-
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Insan do kism ke hote Hain,
❶ Shakhsiyat parast شخصیت پرست
❷ Hakeekat parast حقیقت پرست
Shakhsiyat parast wo hain Jo baton ko shakhsiyat ke aitbaar se dekhein jis bat se uske mahboob shakhsiyat ke taeed nikle, us ko wo theek samajh le,aur jis bat se uske mahboob shakhsiyat ki tardeed ho rahi ho us ka wo inkari ban Jaye.
Hakeekat parast wo hai Jo baton ko hakeekat ke aitbaar se dekhe Jo bat dalail se sabit ho,us ko maan le, aur Jo bat dalail se durust sabit na ho us ko radd kar de,
Yahi dusri kism ke log Hain jo khuda ko pate Hain Jo akhri aa'laa hakeekat hai. Pehli kism ke log sari Zindagi sari umar shakhsiyat ke khoul me band rehte Hain, aur isi me mar jate hain wo is lazzat e ma'arifat se mehroom rehte Hain Jo hakeeki Rab ko paa Kar kisi Banda e parwar ko hasil hoti hai.
No comments:
Post a Comment