🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹
BISMILLAH HIR RAHMA NIR RAHEEM
MAFHOOM E HADITH
RELATED_ Khade ho kar namaz padne aur baith kar namaz padne mein fark❓
🎤🌈 Hazrat Abdullah ibn e umar Radi Allahu Anhu kehte hain, Ek martaba main baith kar namaz pad Raha tha, mere Kareeb Rasool Allah salallahu alaihi wasallam ka guzar hua! AAP Salallahu alaihi wasallam ne farmaya, baith kar namaz padne walo Ko Khade ho kar namaz padne walo se aadha sawab milta hain🍑
🌈 Hazrat Imran Radi Allahu Anhu ne Rasool Allah Salallahu alaihi wasallam se baith kar namaz padne ke bare mein daryaft Kiya!
AAP Salallahu alaihi wasallam ne farmaya, baith kar namaz padne mein Khade ho kar namaz padne se aadha sawab hain aur neend ki halat mein namaz padne ka baith kar padne se aadha sawab hain🍑
SAHI BUKHARI
HADITH NO.
1115,
1116
PLEASE SHARE THIS POST
NEKI AUR SAWAB KE HAQDAR BANE
By :: SHEIKH SAMREEN SALAFI
🌱 JazakAllah Khairan🌱
Ładnie to wygląda.
ReplyDelete